अगर ये नींद न होती तो कब के मर गए होते।
Bichhad Ke Bhi Wo Roj Milta Hai Mujhe Khwaabon Mein.
Agar Ye Neend Na Hoti To Kab Ke Mar Gaye Hote.
यूँ तो हर रंग का मौसम मुझसे वाकिफ है मगर
रात की तन्हाई पर मुझे कुछ अलग ही जानती है।
Yoon To Har Rang Ka Mausam Mujhse Waaqif Hai Magar,
Raat Ki Tanhai Par Mujhe Kuchh Alag Hi Janti Hai.
जरुरत जब भी थी मुझको किसी के साथ की,
उन्हीं मखसूस लम्हों में मुझे छोड़ा है अपनों ने।
Jaroorat Jab Bhi Thi Mujh Ko Kisi Ke Saath Ki,
Unhi Makhsoos Lamhon Mein Mujhe Chhoda Hai Apno Ne.
तन्हाई की रात कट ही जाएगी
इतने भी हम मजबूर नहीं,
दोहरा कर तेरी बातों को
कभी रो लेंगे कभी हँस लेंगे।
Tanhaai Ki Raat Kat Hi Jayegi
Itne Bhi Hum Majboor Nahi,
Dohra Kar Teri Baaton Ko
Kabhi Ro Lenge Kabhi Hans Lenge.
सुबकती रही रात अकेली तन्हाईओं के आगोश में,
और वो काफ़िर दिन से मोहब्बत कर के उसका हो गया।
Subakti Rahi Raat Akeli Tanhaayion Ke Aagosh Mein,
Aur Wo Kafir Din Se Mohabbat Kar Ke Uska Ho Gaya.
मेरी तन्हाइयाँ करती हैं जिन्हें याद सदा,
उनको भी मेरी जरुरत हो जरूरी तो नहीं।
Meri Tanhayian Karti Hain Jinhein Yaad Sadaa,
Unn Ko Bhi Meri Jaroorat Ho Jaroori To Nahi.
कभी सोचा न था तन्हाइयों का दर्द यूँ होगा,
मेरे दुश्मन ही मेरा हाल मुझसे पूछते हैं।
Kabhi Socha Na Tha Tanhaayion Ka Dard Yoon Hoga,
Mere Dushman Hi Mera Haal Mujhse Poochhte Hain.
यूँ भी हुआ रात को जब लोग सो गए,
तन्हाई और मैं तेरी बातों में खो गए।
Yoon Bhi Hua Hai Raat Ko Jab Log So Gaye,
Tanhaai Aur Main Teri Baaton Mein Kho Gaye.
दिल को आता है जब भी ख्याल उनका,
तस्वीर से पूछते हैं फिर हाल उनका।
Dil Ko Aata Hai Jab Bhi Khayal Unka,
Tasvir Se Poochhte Hain Fir Haal Unka.