Rishtey Shayari in Hindi
कुछ इस तरह खूबसूरत रिश्ते टूट जाया करते हैं,
दिल भर जाता है तो लोग रूठ जाया करते हैं।
Kuchh Is Tarah Khoobsurat Rishtey Toot Jaya Karte Hain,
Dil Bhar Jata Hai To Log Roothh Jaya Karte Hain.
मशरूफ रहने का अंदाज़ तुम्हें तन्हा ना कर दे,
रिश्ते फुर्सत के नहीं तवज्जो के मोहताज़ होते हैं।
Mashroof Rehne Ka Andaaz Tumhein Tanha Na Kar De,
Rishtey Fursat Ke Nahi Tawajjo Ke Mohtaaz Hote Hain.
जब भी हो थोड़ी फुरसत मन की बात कह दीजिये,
बहुत ख़ामोश रिश्ते ज़्यादा दिनों तक ज़िंदा नहीं रहते।
Jab Bhi Ho Thodi Fursat Man Ki Baat Keh Dijiye,
Bahut Khamosh Rishtey Jyada Dino Tak Zinda Nahi Rehte.
छुपे-छुपे से रहते हैं सरेआम नहीं हुआ करते,
जो रिश्ते एहसास होते हैं बेनाम हुआ करते हैं।
Chhupe-Chhupe Se Rehte Hain Sar-e-Aam Nahi Hua Karte,
Jo Rishtey Ehsaas Hote Hain BeNaam Hua Karte Hain.
मुलाकातें जरूरी हैं अगर रिश्ते निभाने हैं,
लगाकर भूल जाने से तो पौधे भी सूख जाते हैं।
Mulakaatein Jaroori Hain Agar Rishtey Nibhane Hain,
Lagakar Bhool Jane Se To Paudhe Bhi Sookh Jate Hain.
नए रिश्ते जो न बन पाएं तो मलाल मत करना
पुराने टूटने न पाएं बस इतना ख्याल रखना।
Naye Rishtey Jo Na Ban Paayein To Malaal Mat Karna,
Puraane Tootne Na Paayein Bas Itna Khyaal Rakhna.
अगर रिश्तों में हो तल्खी तो चुप हो बैठना बेहतर,
गड़े मुर्दे उखाड़ोगे तो बदबू फैल जायेगी।
Agar Rishton Mein Ho Talkhi To Chup Ho Baithhna Behtar,
Gade Murde Ukhadoge To Badboo Phail Jayegi.
कुछ ऐसे हो गए हैं इस दौर के रिश्ते,
जो आवाज तुम ना दो तो बोलते वो भी नहीं।
Kuchh Aise Ho Gaye Hain Iss Daur Ke Rishtey,
Jo Aawaaz Tum Na Do To Bolte Wo Bhi Nahi.
बहुत अजीब से हो गए हैं ये रिश्ते आजकल के,
सब फुरसत में हैं पर वक़्त किसी के पास नहीं।
Bahut Ajeeb Ho Gaye Hain Ye Rishtey Aajakal Ke,
Sab Fursat Mein Hain Par Waqt Kisi Ke Paas Nahi.
मजबूरियों से लड़कर रिश्तों को समेटा है,
कौन कहता है मुझे रिश्तें निभाने नहीं आते।
Majboorion Se LadKar Rishton Ko Sameta Hai,
Kaun Kehta Hai Mujhe Rishtey Nibhane Nahi Aate.
हाथ छूटे भी तो रिश्ते नहीं छूटा करते,
वक्त की शाख से लम्हे नहीं टूटा करते।
Haath Chhoote Bhi To Rishte Nahi Chhoota Karte,
Waqt Ki Shaakh Se Lamhe Nahi Toota Karte.
कुछ रूठे हुए लम्हें कुछ टूटे हुए रिश्ते,
हर कदम पर काँच बन कर जख्म देते हैं।
Kuchh Ruthhe Huye Lamhe Kuchh Toote Huye Rishtey,
Har Kadam Par Kaanch Ban Kar Zakhm Dete Hain.