Haathon Ki Lakeeron Mein
सुना है अब भी मेरे हाथ की लकीरों में,
नजूमियों को मुक़द्दर दिखाई देता है।
Suna Hai Ab Bhi Mere Haathon Ki Lakeeron Mein,
Najumiyon Ko Muqaddar Dikhayi Deta Hai.
मौजों से खेलना तो सागर का शौक है,
लगती है कितनी चोट किनारों से पूछिये।
Maujon Se Khelna To Sagar Ka Shauk Hai,
Lagti Hai Kitni Chot Kinaro Se Pucchiye.
मेरे किस्से सर-ए-बाज़ार उछाले उसने,
जिसका हर ऐब ज़माने से छुपाया मैंने।
Mere Kisse Sar-e-Bazaar Uchhaale Usne,
Jiska Har Aib Zamane Se Chhupaya Maine.
कट गया पेड़ मगर ताल्लुक की बात थी,
बैठे रहे ज़मीन पर वो परिंदे रात भर।
Kat Gaya Ped Magar Talluk Ki Baat Thi,
Baithhe Rahe Zamin Par Wo Parinde Raat Bhar.