2 Line Shayari, Bechain To Har Shakhs Hai
चेहरे पर सुकून तो बस दिखाने भर का है,
वरना बेचैन तो हर शख्स ज़माने भर का है।
Chehre Par Sukoon To Bas Dikhaane Bhar Ka Hai,
Varna Bechain To Har Shakhs Zamane Bhar Ka Hai.
फूल बनने की खुशी में मुस्कुरायी थी कली,
क्या खबर थी ये तबस्सुम मौत का पैगाम है।
Phool BanNe Ki Khushi Mein Muskurayi Thi Kali,
Kya Khabar Thi Ye Tabassum Maut Ka Paigam Hai.
शब्दों के इत्तेफाक़ में यूँ बदलाव करके देख,
तू देख कर न मुस्कुरा बस मुस्कुरा के देख।
Shabdon Ke ittefak Mein Yoon Badlaav Karke Dekh,
Tu Dekh Kar Na Muskura Bas Muskura Ke Dekh.
बस यही दो मसले, ज़िन्दगी भर ना हल हुए,
ना नींद पूरी हुई, ना ख्वाब मुकम्मल हुए।
Bas Yehi Do Masle Zindagi Bhar Na Hal Huye,
Na Neend Poori Huyi Na Khwaab Muqammal Huye.