Life (Zindagi) Shayari

Advertisement

Shayari Zindagi Kahin To Pahucha De

नफरत सी होने लगी है इस सफ़र से अब,
ज़िन्दगी कहीं तो पहुँचा दे खत्म होने से पहले।
Nafrat Si Hone Lagi Hai Iss Safar Se Ab,
Zindagi Kahin To Pahucha De Khatm Hone Se Pehle.

Hindi Shayari about Sad Life

छोड़ ये बात कि मिले ज़ख़्म कहाँ से मुझको,
ज़िन्दगी इतना बता कितना सफर बाकी है।
Chhod Yeh Baat Ke Mile Zakhm Kahan Se Mujhko,
Zindagi Itna Bata Kitna Safar Baaki Hai.

Advertisement

Zindagi Humko Aazmaati Rahi

खुशी में भी आँख आँसू बहाती रही,
जरा सी बात हमें देर तलक रुलाती रही,
कोई खो के मिल गया तो कोई मिल के खो गया,
ज़िन्दगी हम को बस ऐसे ही आज़माती रही।

Khushi Mein Bhi Aankh Aansoo Bahati Rahi,
Jara Si Baat Humein Der Talak Rulaati Rahi,
Koi Kho Ke Mil Gaya To Koi Mil Ke Kho Gaya,
Zindagi Humko Bas Aise Hi Aazmaati Rahi.

Advertisement

Ho Gaya Hai Zindagi Ka Tajurba

अब समझ लेता हूँ मीठे लफ़्ज़ों की कड़वाहट,
हो गया है ज़िन्दगी का तजुर्बा थोड़ा थोड़ा।
Ab Samajh Leta Hun Meethhe Lafzon Ki Kaduwahat,
Ho Gaya Hai Zindagi Ka Tajurba Thoda Thoda.

Hindi Shayari Zindagi Ka Tajurba

मुझे ज़िन्दगी का इतना तजुर्बा तो नहीं है दोस्तों,
पर लोग कहते हैं यहाँ सादगी से कटती नहीं।
Mujhe Zindagi Ka Itna Tajurba To Nahin Hai Dosto,
Par Log Kahte Hain Yehan Saadgi Se KatTi Nahi.

Advertisement

Liye Firti Hai Zindagi Mujhko

जहाँ-जहाँ कोई ठोकर है मेरी किस्मत में,
वहीं-वहीं लिए फिरती है मेरी ज़िन्दगी मुझको।
Jahan-Jahan Koi Thhokar Hai Meri Kismat Mein,
Wahin-Wahin Liye Firti Hai Meri Zindagi Mujhko.

सबक वो हमको पढ़ाए हैं ज़िन्दगी ने कि हम,
हुआ था जो इल्म किताबों से वो भी भूल गए।
Sabak Wo Humko Parhaye Hain Zindagi Ne Ke Hum,
Hua Tha Jo ilm Kitaabon Se Wo Bhi Bhool Gaye.

Advertisement

Zindagi Adab Mein Gujar Gayi

एक उम्र गुस्ताखियों के लिये भी नसीब हो,
ये ज़िन्दगी तो बस अदब में ही गुजर गई।

Ek Umar Gustakhiyon Ke Liye Bhi Naseeb Ho,
Yeh Zindagi To Bas Adab Mein Gujar Gayi.