ज़ुल्फ़-ओ-रुखसार की जन्नत नहीं कुछ और भी है,
भूख और प्यास की मारी हुई इस दुनिया में,
इश्क ही इक हकीकत नहीं कुछ और भी है।
Zindagi Sirf Mohabbat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,
Zulf-o-Rukhsaar Ki Jannat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,
Bhookh Aur Pyaas Ki Maari Huyi Iss Duniya Mein,
Ishq Hi Ek Hakiqat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai.
ज़िन्दगी उस अजनबी मोड़ पर ले आई है,
तुम चुप हो मुझसे और मैं चुप हूँ सबसे।
Zindagi Uss Ajnabi Mod Par Le Aayi Hai,
Tum Chup Ho Mujhse Aur Main Chup Hun Sabse.
कितना मुश्किल है ज़िन्दगी का ये सफ़र,
खुदा ने मरना हराम किया लोगों ने जीना।
Kitna Mushkil Hai Zindagi Ka Yeh Safar,
Khuda Ne Marna Haraam Kiya Logon Ne Jeena.
सरे-आम मुझे ये शिकायत है ज़िन्दगी से,
क्यूँ मिलता नहीं मिजाज़ मेरा किसी से।
Sar-e-Aam Mujhe Ye Shikayat Hai Zindagi Se,
Kyun Milta Nahi Mijaaz Mera Kisi Se.
आराम से तन्हा कट रही थी तो अच्छी थी,
ज़िन्दगी तू कहाँ दिल की बातों में आ गयी।
Aaram Se Tanha Kat Rahi Thi To Achchhi Thi,
Zindagi Tu Kahan Dil Ki Baaton Mein Aa Gayi.
जुगनुओं की रोशनी से तीरगी हटती नहीं,
आइने की सादगी से झूठ की पटती नहीं,
ज़िन्दगी में गम नहीं फिर इसमें क्या मजा,
सिर्फ खुशियों के सहारे ज़िन्दगी कटती नहीं।
Jugnuon Ki Roshni Se Teergi HatTi Nahi,
Aayine Ki Saadgi Se Jhoothh Ki PatTi Nahi,
Zindagi Mein Gham Nahi Fir Ismein Kya Mazaa,
Sirf Khushion Ke Sahare Zindagi KatTi Nai.
जाने कब आ के दबे पाँव गुजर जाती है,
मेरी हर साँस मेरा जिस्म पुराना करके।
Jaane Kab Aake Dabe Paanv Gujar Jaati Hai,
Meri Har Saans Mera Jism Purana Kar Ke.
पहचानूं कैसे तुझको मेरी ज़िन्दगी बता,
गुजरी है तू करीब से लेकिन नकाब में।
Pahchaanu Kaise Tujh Ko Meri Zindagi Bataa,
Gujri Hai Tu Kareeb Se Lekin Naqaab Mein.