Shayari on Life | लाइफ शायरी

Advertisement

Nakaam Zindagi Ki Muqammal Kitab

फुरसत अगर मिले तो मुझे पढ़ना जरूर,
नाकाम ज़िंदगी की मुकम्मल किताब हूँ मैं।
Fursat Agar Mile To Mujhe Parhna Jaroor,
Nakaam Zindagi Ki Muqammal Kitab Hoon Main.

Sad Life Shayari Nakaam Zindagi Ki Muqammal Kitaab

रोज़ दिल में हसरतों को जलता देखकर,
थक चुका हूँ ज़िन्दगी का ये रवैया देखकर।
Roj Dil Mein Hasraton Ko Jalta DekhKar,
Thak Chuka Hoon Zindagi Ka Ye Ravaiya DekhKar.

बख्शा है ठोकरों ने सँभलने का हौसला,
हर हादसा ख्याल को गहराई दे गया।
Bakhsha Hai Thhokaron Ne Sambhalne Ka Hausla,
Har Haadsa Khayal Ko Gahraayi De Gaya.

Advertisement

Thodi Masti Thoda Sa Imaan

थोड़ी मस्ती थोड़ा सा ईमान बचा पाया हूँ,
ये क्या कम है अपनी पहचान बचा पाया हूँ,
कुछ उम्मीदें, कुछ सपने, कुछ महकती यादें,
जीने का मैं इतना ही सामान बचा पाया हूँ।

Thodi Masti Thoda Sa Imaan Bacha Paya Hoon,
Yeh Kya Kam Hai Apni Pahchaan Bacha Paya Hoon,
Kuchh Ummidein, Kuchh Sapne, Kuchh Mahekti Yaadein,
Jeene Ka Main Itna Hi Saman Bacha Paya Hoon.

Advertisement

Kitna Aur Badaloon Ai Zindagi Shayari

कितना और बदलूं खुद को
ज़िन्दगी जीने के लिए,
ऐ ज़िन्दगी, मुझको थोड़ा सा
मुझमें बाकी रहने दे।

Kitna Aur Badloon Khud Ko
Zindagi Jeene Ke Liye,
Ai Zindagi Mujhko Thoda Sa
Mujh Mein Baki Rehne De.

Advertisement

Hasil-e-Zindagi Kuchh Nahi

हासिल-ए-ज़िन्दगी हसरतों के सिवा और कुछ भी नहीं,
ये किया नहीं, वो हुआ नहीं, ये मिला नहीं, वो रहा नहीं।
Hasil-e-Zindagi Hasrato Ke Siwa Aur Kuchh Bhi Nahi,
Ye Kiya Nahi, Wo Hua Nahi, Ye Mila Nahi, Wo Raha Nahi.

Haasil-e-Zindagi Kuchh Nahi Life Shayari in Hindi

पढ़ने वालों की कमी हो गयी है आज इस ज़माने में,
वरना मेरी ज़िन्दगी का हर पन्ना मुकम्मल किताब है।
Parhne Walon Ki Kami Ho Gayi Hai Aaj Is Zamaane Mein.
Varna Meri Zindagi Ka Har Panna Mukammal Kitaab Hai.

Advertisement

Zindagi Hisaabon Se Jee Nahi Jaati

न कर शुमार कि हर शय गिनी नहीं जाती,
ये ज़िन्दगी है हिसाबों से जी नहीं जाती।
Na Kar Shumaar Ki Har Shay Gini Nahi Jaati,
Ye Zindagi Hai Hisaabon Se Jee Nahi Jaati.

हर एक चेहरे को ज़ख़्मों का आईना न कहो,
ये ज़िन्दगी तो है रहमत इसे सज़ा न कहो।
Har Ek Chehre Ho Zakhmo Ka Aayina Na Kaho,
Ye Zidagi To Hai Rehmat Ise Saza Na Kaho.

कुछ आग आरज़ू की उम्मीद का धुआँ कुछ,
हाँ राख ही तो ठहरा अंजाम ज़िन्दगी का।
Kuchh Aag Aarzoo Ki Ummeed Ka Dhuaan Kuchh,
Haan Raakh Hi To Thhehra Anjaam Zindagi Ka.