Best Shayar

Advertisement

Mirza Ghalib Shayari Collection

हैं और भी दुनिया में सुखनवर बहुत अच्छे,
कहते हैं कि ग़ालिब का है अंदाज़-ए-बयाँ और।
Hain Aur Bhi Duniya Mein SukhanWar Bahut Achchhe,
Kehte Hain Ki Ghalib Ka Hai Andaaz-e-Bayaan Aur.

Best of Mirza Ghalib Sher o Shayari

इश्क़ पर जोर नहीं है ये वो आतिश ग़ालिब,
कि लगाए न लगे और बुझाए न बने।
Ishq Par Jor Nahi Hai Ye Wo Aatish Galib,
Ki Lagaye Na Lage Aur Bujhaye Na Bujhe.

Advertisement

अल्लामा इक़बाल की बेहतरीन शायरी

मंज़िल-ए-ग़म से गुजरना तो है आसाँ 'इक़बाल',
इश्क़ है नाम खुद अपने से गुजर जाने का।
Manzil-e-Gham Se Gujarna To Hai Aasaan Iqbal,
Ishq Hai Naam Khud Apne Se Gujarne Ka.

Best Shayari of Allama Iqbal

जब से चमन छूटा है ये हाल हो गया है,
दिल ग़म को कह रहा ग़म दिल को कह रहा।
Jab Se Chaman Chhuta Hai Ye Haal Ho Gaya Hai,
Dil Gham Ko Keh Raha Gham Dil Ko Keh Raha.

Advertisement

दाग़ देहलवी की बेहतरीन शायरी

क्या पूछते हो कौन है ये किसकी है शोहरत,
क्या तुमने कभी 'दाग़' का दीवाँ नहीं देखा।
Kya Poochhte Ho Kaun Hai Ye Kiski Shohrat Hai,
Kya Tumne Kabhi 'Daagh' Ka Deewan Nahi Dekha.

Best Shayari of Daagh Dehlvi in Hindi

ख़ातिर से या लिहाज़ से मैं मान तो गया,
झूठी क़सम से आपका ईमान तो गया।
Khatir Se Ya Lihaaz Se Main Maan To Gaya,
Jhoothhi Qasam Se Aapka Imaan To Gaya.

Advertisement

फ़ैज़ अहमद फ़ैज़ की बेहतरीन शायरी

जुदा थे हम तो मयस्सर थीं कुर्बतें कितनी,
वहम हुए तो पड़ी हैं जुदाइयाँ क्या-क्या।
Juda The Hum To Mayassar Thi Qurbatein Kitni,
Wahem Huye To Padi Hain Judaayian Kya-Kya.

ग़म-ए-जहां हो, रुख़-ए-यार हो, कि दस्त-ए-अदू,
सुलूक जिस से किया हमने आशिक़ाना किया।
Gham-e-Jahan Ho, Rukh-e-Yaar Ho, Ki Dast-e-Adoo,
Sulook Jis Se Kiya Hum Ne Aashiqana Kiya.

Advertisement

अकबर इलाहाबादी की चुनिंदा शायरी

तहसीन के लायक़ तिरा हर शेर है 'अकबर',
अहबाब करें बज़्म में अब वाह कहाँ तक।
Tehseen Ke Layak Tera Har Sher Hai 'Akbar',
Ahbaab Karein Bazm Mein Ab Waah Kahan Tak.

Akbar Allahabadi Ki Best Shayari

खींचो न कमानों को न तलवार निकालो,
जब तोप मुक़ाबिल हो तो अख़बार निकालो।
Kheencho Na Kamaano Ko Na Talwar Nikalo,
Jab Top Muqabil Ho To Akhbar Nikalo.

‹ Prev123