Akbar Allahabadi Shayari Collection

Advertisement

तहसीन के लायक़ तिरा हर शेर है 'अकबर',
अहबाब करें बज़्म में अब वाह कहाँ तक।
Tehseen Ke Layak Tera Har Sher Hai 'Akbar',
Ahbaab Karein Bazm Mein Ab Waah Kahan Tak.

Akbar Allahabadi Shayari Collection

खींचो न कमानों को न तलवार निकालो,
जब तोप मुक़ाबिल हो तो अख़बार निकालो।
Kheencho Na Kamaano Ko Na Talwar Nikalo,
Jab Top Muqabil Ho To Akhbar Nikalo.

लोग कहते हैं कि बदनामी से बचना चाहिए,
कह दो बे इसके जवानी का मज़ा मिलता नहीं।
Log Kehte Hain Ki BadNaami Se Bachna Chahiye,
Keh Do Be Iske Jawani Ka Mazaa Milta Nahi.

दुख़्तर-ए-रज़ ने उठा रक्खी है आफ़त सर पर,
ख़ैरियत गुज़री कि अंगूर के बेटा न हुआ।
Dukhtar-e-Raz Ne Uthha Rakhi Hai Aafat Sar Par,
Khairiyat Gujri Ke Angoor Ko Beta Na Hua.

शेख़ की दावत में मय का काम क्या,
एहतियातन कुछ मँगा ली जाएगी।
Shekh Ki Daawat Mein Mai Ka Kaam Kya,
Ehtiyatan Kuchh Manga Li Jayegi.

दुनिया में हूँ दुनिया का तलबगार नहीं हूँ,
बाज़ार से गुजरा हूँ खरीदार नहीं हूँ।
Duniya Mein Hoon Duniya Ka TalabGaar Nahi Hoon,
Bazar Se Gujra Hoon Khareedar Nahi Hoon.

Best Shayari of Akbar Allahabadi

Advertisement

ग़म्ज़ा नहीं होता कि इशारा नहीं होता,
आँख उनसे जो मिलती है तो क्या-क्या नहीं होता।
Ghamza Nahi Hota Ki Ishara Nahi Hota,
Aankh Unse Jo Na Milti To Kya-Kya Nahi Hota.

अब तो है इश्क़-ए-बुताँ में ज़िंदगानी का मज़ा,
जब खुदा का सामना होगा तो देखा जाएगा।
Ab To Ishq-e-Butaan Mein Zindgaani Ka Maza,
Jab Khuda Ka Saamna Hoga To Dekha Jayega.

इश्क़ के इज़हार में हर चंद रुस्वाई तो है,
पर करूँ क्या अब तबीअत आप पर आई तो है।
Ishq Ke Izhaar Mein Har Chand Rushwayi To Hai,
Par Karoon Kya Ab Tabiyat Aap Par Aayi To Hai.

सीने से लगाएँ तुम्हें अरमान यही है,
जीने का मज़ा है तो मिरी जान यही है।
Seene Se Lagayein Tumhein Armaan Yahi Hai,
Jeene Ka Maza Hai To Meri Jaan Yahi Hai.

मेरे हवास इश्क़ में क्या कम हैं मुंतशिर,
मजनूँ का नाम हो गया किस्मत की बात है।
Mere Hawaas Ishq Mein Kya Kam Hain Muntshir,
Majnoo Ka Naam Ho Gaya Kismat Ki Baat Hai.

ये दिलबरी ये नाज़ ये अंदाज़ ये जमाल,
इंसाँ करे अगर न तिरी चाह क्या करे।
Ye Dilbari Ye Naaj Ye Andaaz Ye Jamaal,
Insaan Kare Agar Na Teri Chaah Kya Kare.

इलाही कैसी कैसी सूरतें तू ने बनाई है,
कि हर सूरत कलेजे से लगा लेने के क़ाबिल है।
ilaahi Kaisi Kaisi Sooratein Tu Ne Banayi Hain,
Ki Har Soorat Kaleje Se Laga Lene Ke Kabil Hai.

तैयार थे नमाज़ पे हम सुनके ज़िक्र-ए-हूर,
जल्वा बुतों का देख के नीयत बदल गई।
Taiyar The Namaaz Pe Hum SunKe Zikr-e-Hoor,
Jalwa Buton Ka Dekh Ke Neeyat Badal Gayi.

इश्वा भी है शोख़ी भी तबस्सुम भी हया भी,
ज़ालिम में और इक बात है इस सब के सिवा भी।
Ishwa Bhi Hai Shokhi Bhi Tabassum Bhi Haya Bhi,
Zalim Mein Aur Ik Baat Hai Iss Sab Ke Siwa Bhi.

Advertisement

Ahmad Faraz Shayari Collection

Faiz Ahmad Faiz Shayari Collection

Advertisement

Read more Shayari Collection in Hindi