Faiz Ahmad Faiz Shayari Collection

Advertisement

जुदा थे हम तो मयस्सर थीं कुर्बतें कितनी,
वहम हुए तो पड़ी हैं जुदाइयाँ क्या-क्या।
Juda The Hum To Mayassar Thi Qurbatein Kitni,
Wahem Huye To Padi Hain Judaayian Kya-Kya.

ग़म-ए-जहां हो, रुख़-ए-यार हो, कि दस्त-ए-अदू,
सुलूक जिस से किया हमने आशिक़ाना किया।
Gham-e-Jahan Ho, Rukh-e-Yaar Ho, Ki Dast-e-Adoo,
Sulook Jis Se Kiya Hum Ne Aashiqana Kiya.

Faiz Ahmad Faiz Shayari Collection

अब अपना इख़्तियार है चाहे जहाँ चलें,
रहबर से अपनी राह जुदा कर चुके हैं हम।
Ab Apna Ikhtiyaar Hai Chaahe Jahan Chalein,
Rehbar Se Apni Raah Juda Kar Chuke Hain Hum.

और भी गम है जमाने में मुहब्बत के सिवा,
राहतें और भी है वस्ल की राहत के सिवा।
Aur Bhi Gham Hain Zamane Mein Mohabbat Ke Siwa,
Raahtein Aur Bhi Hain Vasl Ki Raahat Ki Siwa.

कब ठहरेगा दर्द ऐ दिल कब रात बसर होगी,
सुनते थे कि वो आयेंगे सुनते थे सहर होगी।
Kab Thhehrega Dard Ai Dil Kab Raat Basar Hogi,
Sunte The Ki Wo Aayenge Sunte The Sahar Hogi.

कहाँ तक सुनेगी रात कहाँ तक सुनायें हम,
शिकवे सरे-शब आज तेरे रूबरू करें।
Kahan Tak Sunegi Raat Kahan Tak Sunayein Hum,
Shiqwe Sare-Shab Aaj Tere Rubaroo Karein.

तू जो मिल जाये तो तक़दीर निगूँ हो जाये,
यूँ न था मैने फ़क़त चाहा था यूँ हो जाये।
Tu Jo Mil Jaye To Taqdeer Nigoon Ho Jaye,
Yoon Na Tha Maine Faqat Chaha Tha Yoon Ho Jaye.

ये अजब क़यामतें हैं तेरी रहगुजर में गुजरी,
न हो कि मर मिटें हम न हो कि जी उठें हम।
Ye Ajab Qayamatein Hain Teri Rehgujar Mein Gujri,
Na Ho Ki Mar Mitein Hum, Na Ho Ki Jee Uthein Hum.

Advertisement

गुलों में रंग भरे बाद-ए-नौ-बहार चले,
चले भी आओ कि गुलशन का कारोबार चले।
Gulon Mein Rang Bhare Baad-e-Nau-Bahaar Chale,
Chale Bhi Aao Ki Gulshan Ka Karobaar Chale.

लौट जाती है उधर को भी नजर क्या कीजे,
अब भी दिलकश है तेरा हुस्न मगर क्या कीजे।
Laut Jaati Hai Udhar Ko Bhi Najar Kya Keeje,
Ab Bhi DilKash Hai Tera Husn Magar Kya Keeje.

Best Shayari of Faiz Ahmad Faiz

उठ कर तो आ गए हैं तिरी बज़्म से मगर,
कुछ दिल ही जानता है कि किस दिल से आए हैं।
Uthh Kar To Aa Gaye Hain Teri Bazm Se Magar,
Kuchh Dil Hi Jaanta Hai Ki Kis Dil Se Aaye Hain.

फिर नजर में फूल महके दिल में फिर शम्में जलीं,
फिर तसव्वुर ने लिया उस बज़्म में जाने का नाम।
Fir Najar Mein Phool Maheke Dil Phir Shamayein Jali,
Fir Tasawwur Ne Liya Uss Bazm Mein Jaane Ka Naam.

तेरी आमद से घटती उम्र जहाँ में सब की,
फैज़ ने लिखी है यह नज़्म निराले ढब की।
Teri Aamad Se GhatTi Umr Jahan Mein Sab Ki,
Faiz Ne Likhi Hai Ye Nazm Nirale Dhab Ki.

रात यूँ दिल में तेरी खोई हुई याद आई,
जैसे वीराने में चुपके से बहार आ जाये,
जैसे सहराओं में हौले से चले बादे-नसीम,
जैसे बीमार को बेवजह करार आ जाये।
Raat Yoon Dil Mein Teri Khoyi Hui Yaad Aayi,
Jaise Veerane Mein Chupke Se Bahar Aa Jaye,
Jaise Sehraaon Mein Haule Se Chale Baad-e-Naseem,
Jaise Beemar Ko Bewajah Karaar Aa Jaye.

Faiz Ahmed Faiz Poetry

मैंने समझा था कि तू है तो दरख़्शां है हयात,
तेरा ग़म है तो ग़मे-दहर का झगड़ा क्या है,
तेरी सूरत से है आलम में बहारों को सबात,
तेरी आँखों के सिवा दुनिया मे रक्खा क्या है।
Maine Samjha Tha Ki Tu Hai To Darkhshan Hai Hayat,
Tera Gham Hai To Ghame-Daher Ka Jhagda Kya Hai,
Teri Soorat Se Hai Aalam Mein Bahaaron Ko Sabaat,
Teri Aankhon Ke Siwa Duniya Mein Rakha Kya Hai.

Advertisement

Akbar Allahabadi Shayari Collection

Daagh Dehlvi Shayari Collection

Advertisement

Read more Shayari Collection in Hindi