Daagh Dehlvi Shayari Collection

Advertisement

क्या पूछते हो कौन है ये किसकी है शोहरत,
क्या तुमने कभी 'दाग़' का दीवाँ नहीं देखा।
Kya Poochhte Ho Kaun Hai Ye Kiski Shohrat Hai,
Kya Tumne Kabhi 'Daagh' Ka Deewan Nahi Dekha.

Daagh Dehlvi Shayari Collection in Hindi

ख़ातिर से या लिहाज़ से मैं मान तो गया,
झूठी क़सम से आपका ईमान तो गया।
Khatir Se Ya Lihaaz Se Main Maan To Gaya,
Jhoothhi Qasam Se Aapka Imaan To Gaya.

तुम्हारे खत में नया इक सलाम किसका था,
न था रक़ीब तो आख़िर वो नाम किसका था।
Tumhare Khat Mein Naya Ik Salaam Kiska Tha,
Na Tha Raqeeb To Aakhir Wo Naam Kiska Tha.

दाग़ दुशमन से भी झुककर मिलिए,
कुछ अजीब चीज है मिलनसारी।
Daagh Dushman Se Bhi JhukKar Miliye,
Kuchh Ajeeb Cheej Hai Milansaari.

यूँ मेरे साथ दफ़न दिल-ए-बेक़रार हो,
छोटा सा इक मज़ार के अंदर मज़ार हो।
Yoon Mere Saath Dafan Dil-e-BeQarar Ho,
Chhota Sa Ik Mazar Ke Andar Mazar Ho.

ज़ीस्त से तंग हो ऐ दाग़ तो जीते क्यूँ हो,
जान प्यारी भी नहीं जान से जाते भी नहीं।
Zeest Se Tang Ho Ai 'Daagh' To Jeete Kyun Ho,
Jaan Pyari Bhi Nahi Jaan Se Jaate Bhi Nahi.

दाग़ देहलवी की शायरी

वफ़ा करेंगे... निबाहेंगे... बात मानेंगे,
तुम्हें भी याद है कुछ ये कलाम किसका था।
Wafa Karenge... Nibahenge... Baat Manenge,
Tumhein Bhi Yaad Hai Kuchh Ye Kalaam Kiska Tha.

कहने देती नहीं कुछ मुँह से मोहब्बत मेरी,
लब पे रह जाती है आ-आ के शिकायत मेरी।
Kehne Deti Nahi Kuchh Munh Se Mohabbat Meri,
Lab Pe Reh Jati Hai Aa-Aa Ke Shikayat Meri.

थक-थक के बंद होते हैं चस्म-ए-इंतजार,
आता है सबको ख्याल तुम्हारे ख्याल से।
Thak-Thak Ke Band Hote Hain Chasm-e-Intezar,
Aata Hai Sab Ko Khayal Tumhare Khayal Se.

Advertisement

और होंगे तिरी महफ़िल से उठने वाले,
हज़रत-ए-दाग़ जहाँ बैठ गए बैठ गए।
Aur Honge Teri Mehhfil Se Uthhne Wale,
Hazrat-e-Daagh Jahan Baithh Gaye Baithh Gaye.

मिलाते हो उसी को ख़ाक में जो दिल से मिलता है,
मिरी जाँ चाहने वाला बड़ी मुश्किल से मिलता है।
Milate Ho Usi Ko Khaak Mein Jo Dil Se Milta Hai,
Meri Jaan Chahne Wala Badi Mushkil Se Milta Hai.

खूब पर्दा है कि चिलमन से लगे बैठे हैं,
साफ़ छुपते भी नहीं सामने आते भी नहीं।
Khoobb Parda Hai Ki Chilman Se Lage Baithhe Hain,
Saaf Chhupte Bhi Nahi Saamne Aate Bhi Nahi.

क्यूँ वस्ल की शब हाथ लगाने नहीं देते,
माशूक़ हो या कोई अमानत हो किसी की।
Kyun Vasl Ki Shab Haath Lagaane Nahi Dete,
Mashooq Ho Ya Koi Amaanat Ho Kisi Ki.

Daagh Dehlvi Poetry in Hindi Urdu

शब-ए-विसाल है गुल कर दो इन चराग़ों को,
ख़ुशी की बज़्म में क्या काम जलने वालों का।
Shab-e-Visaal Hai Gul Kar Do Inn Chiragon Ko,
Khushi Ki Bazm Mein Kya Kaam Jalne Walon Ka.

इक अदा मस्ताना सर से पाँव तक छाई हुई,
उफ़ तिरी काफ़िर जवानी जोश पर आई हुई।
Ik Adaa Mastana Sar Se Paanv Tak Chhai Hui,
Uff Teri Qafir Jawani Josh Par Aayi Hui.

ये तो कहिए इस ख़ता की क्या सज़ा,
मैं जो कह दूँ आप पर मरता हूँ मैं।
Ye To Kahiye Iss Khata Ki Kya Saza,
Main Jo Keh Doon Aap Par Marta Hoon Main.

छेड़ माशूक़ से कीजे तो जरा थम-थम कर,
रोज के नामा-ओ-पैग़ाम बुरे होते हैं।
Chhed Mashooq Se Keeje To Jara Tham-Tham Kar,
Roj Ke Naama-o-Paigham Bure Hote Hain.

अजब अपना हाल होता जो वस्ल-ए-यार होता,
कभी जान सदके होती कभी दिल निसार होता,
कोई फ़ित्ना या क़यामत न फिर अश्कार होता,
तेरे दिल पे ज़ालिम काश मुझे इख़्तियार होता।
Ajab Apna Haal Hota Jo Vasle-Yaar Hota,
Kabhi Jaan Sadke Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota,
Koi Fitna Ya Qayamat Na Fir Ashkar Hota,
Tere Dil Pe Zalim Kash Mujhe Ikhteyar Hota.

मुमकिन नहीं कि तेरी मोहब्बत की बू न हो,
काफ़िर अगर हज़ार बरस दिल में तू न हो,
क्या लुत्फ़-ए-इंतज़ार जो तू हीला-जू न हो,
किस काम का विसाल अगर आरज़ू न हो।
Mumkin Nahi Ki Teri Mohabbat Ki Boo Na Ho,
Qafir Agar Hajaar Baras Dil Mein Tu Na Ho,
Kya Lutf-e-Intezar Jo Heela-Joo Nahi Ho,
Kis Kaam Ka Visaal Agar Aarzoo Na Ho.

Advertisement

Faiz Ahmad Faiz Shayari Collection

Allama Iqbal Shayari Collection

Advertisement

Read more Shayari Collection in Hindi