Best Shayar

Advertisement

Rahat Indori Shayari Collection

Rahat Indori Shayari Collection

रोज़ तारों को नुमाइश में खलल पड़ता है,
चाँद पागल है अँधेरे में निकल पड़ता है,
रोज़ पत्थर की हिमायत में ग़ज़ल लिखते हैं,
रोज़ शीशों से कोई काम निकल पड़ता है।
Roz Taaron Ki Numaaish Mein Khalal Padta Hai,
Chaand Pagal Hai Andhere Mein Nikal Padta Hai,
Roz Patthar Ki Himayat Mein Ghazal Likhte Hain,
Roz Sheeshon Se Koi Kaam Nikal Padta Hai.

वो चाहता था कि कासा खरीद ले मेरा,
मैं उसके ताज की क़ीमत लगा के लौट आया।
Wo Chahta Tha Ki Kaasa Khareed Le Mera,
Main Uske Taaj Ki Qeemat Laga Ke Laut Aaya.

Advertisement

Abdul Hamid Adam Shayari Collection

उसके बगैर भी तो अदम कट गई हयात,
उसका खयाल उससे जियादा जमील था।
Uske Baghair Bhi To Adam Kat Gayi Hayat,
Uska Khayal Uss Se Ziyada Jameel Tha.

रुक-रुक के साज़ छेड़ कि दिल मुतमइन नहीं,
थम-थम के मय पिला कि तबियत उदास है।
Ruk-Ruk Ke Saaz Chhed Ki Dil Mutmayin Nahi,
Tham-Tham Ke May Pila Ki Tabiyat Udaas Hai.

Advertisement

Dr. Kumar Vishwas Shayari Collection

मोहब्बत एक अहसासों की पावन सी कहानी है,
कभी कबिरा दीवाना था कभी मीरा दीवानी है,
यहाँ सब लोग कहते हैं मेरी आँखों में आँसू हैं,
जो तू समझे तो मोती है जो न समझे तो पानी है।
Mohabbat Ek Ehsaason Ki Paavan Si Kahani Hai,
Kabhi Kabira Diwana Tha Kabhi Meera Diwani Hai,
Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aankhon Mein Ansoon Hain,
Jo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Paani Hai.

Advertisement

Mohsin Naqvi Shayari Collection

हैरान हूँ के मुद्दत-ए-क़लील में मोहसिन,
वो शख्स मेरी सोच से ज़्यादा बदल गया।
Hairan Hoon Ke Muddat-e-Qaleel Mein Mohsin,
Wo Shakhs Meri Soch Se Zyada Badal Gaya.

उसकी चाहत का भरम क्या रखना,
दश्त-ए-हिजरां में क़दम क्या रखना,
हँस भी लेना कभी खुद पर मोहसिन,
हर घडी आँख को नम क्या रखना।
Uski Chaahat Ka Bharam Kya Rakhna,
Dasht-e-Hizran Mein Kadam Kya Rakhna,
Hans Bhi Lena Kabhi Khud Par Mohsin,
Har Ghadi Aankh Ko Nam Kya Rakhna.

हजूम में था वो खुल कर न रो सका होगा,
मगर यकीन है कि शब भर न सो सका होगा।
Hajoom Mein Tha Wo Khul Kar Na Ro Saka Hoga,
Magar Yakeen Hai Ki Shab Bhar Na So Saka Hoga.

Advertisement

Azeem Murtaza Shayari Collection

Aaj Tak Yaad Hai Wo Shaame-Judai Ka Samaan,
Teri Aawaaz Ki Larzish Tere Lehje Ki Thakan.
आज तक याद है वो शाम-ए-जुदाई का समाँ,
तेरी आवाज़ की लर्ज़िश तिरे लहजे की थकन।

Toota To Ajeez Aur Hua Ahel-e-Wafa Ko,
Dil Bhi Kahin Uss Shokh Ka Paimaan To Nahi Hai.
Kuchh Nakhs Teri Yaad Ke Baaki Hain Abhi Tak,
Dil Be-Sar-o-Saamaan Sahi Veeraan To Nahi Hai.
Hum Dard Ke Maare Hi Giraan-Jaan Hain Vagrana,
Jeen Teri Furkat Mein Kuchh Aasaan To Nahi Hai.
टूटा तो अज़ीज़ और हुआ अहल-ए-वफ़ा को,
दिल भी कहीं उस शोख़ का पैमाँ तो नहीं है।
कुछ नक़्श तिरी याद के बाक़ी हैं अभी तक,
दिल बे-सर-ओ-सामाँ सही वीराँ तो नहीं है।
हम दर्द के मारे ही गिराँ-जाँ हैं वगर्ना,
जीना तिरी फ़ुर्क़त में कुछ आसाँ तो नहीं है।

1 2 3 Next ›