कोई मिला ही नहीं जिस को सौंपते मोहसिन,
हम अपने ख्वाब की खुशबू, ख्याल का मौसम।
Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Saunpte Mohsin,
Hum Apne Khwab Ki Khushboo, Khayal Ka Mausam.
वो ज़हर देता तो दुनिया की नजरों में आ जाता,
सो उसने यूँ किया कि वक़्त पे दवा न दी।
Wo Zeher Deta To Duniya Ki Najron Mein Aa Jata,
So Usne Yoon Kiya Ke Waqt Par Davaa Na Di.
माना कि किस्मत पे मेरा कोई जोर नहीं,
पर ये सच है कि मोहब्बत मेरी कमज़ोर नहीं,
उसके दिल में, यादों में कोई और है लेकिन,
मेरी हर साँस में उसके सिवा कोई और नहीं।
Mana Ki Kismat Pe Mera Koi Jor Nahi,
Par Ye Sach Hai Ki Mohabbat Meri Kamjor Nahi,
Uske Dil Mein, Yaadon Mein Koi Aur Hai Lekin,
Meri Har Saans Mein Uske Siwa Koi Aur Nahi.
एक तुम ही मिल जाते बस इतना काफ़ी था,
सारी दुनिया के तलबगार नहीं थे हम।
Ek Tum Hi Mil Jate Bas Itna Kafi Tha,
Sari Duniya Ke TalabGar Nahi The Hum.
रोज ख्वाबों में जीते हैं वो ज़िन्दगी,
जो तेरे साथ हक़ीक़त में सोची थी कभी।
Roj Khwabon Mein Jeete Hain Wo Zindagi,
Jo Tere Saath Hakeeqat Mein Sochi Thi Kabhi.
ठोकर न लगा मुझे पत्थर नहीं हूँ मैं,
हैरत से न देख कोई मंज़र नहीं हूँ मैं,
उनकी नजर में मेरी कदर कुछ भी नहीं,
मगर उनसे पूछो जिन्हें हासिल नहीं हूँ मैं।
Thokar Na Laga Mujhe Patthar Nahi Hoon Main,
Hairat Se Na Dekh Mujhe Manzar Nahi Hoon Main,
Mana Ki Unki Najro Mein Meri Kadr Kuchh Bhi Nahi,
Magar Unse Poocho Jinhein Haasil Nahi Hoon Main.