Sad Shayari in Hindi | हिंदी में सैड शायरी

Advertisement

Sad Shayari, Bhula Deejiye Mujhe

Bhula Deejiye Mujhe Sad Shayari

मुमकिन हो आपसे तो भुला दीजिये मुझे,
पत्थर पे हूँ लकीर मिटा दीजिये मुझे,
हर रोज मुझसे है ताजा शिकायत आपको,
मैं क्या हूँ एक बार बता दीजिये मुझे।
Mumkin Ho Aapse To Bhula Deejiye Mujhe,
Patthar Pe Hoon Lakeer Mita Deejiye Mujhe,
Har Roj Mujh Se Hai Taza Shikayat Aapko,
Main Kya Hoon Ek Bar Bata Deejiye Mujhe.

Advertisement

Hindi Sad Shayari, Yaar Ke Kisse

बहुत फरसोदा लगते हैं मुझे अब यार के किस्से,
गुल-ओ-गुलजार की बातें लब-ओ-रुखसार के किस्से।
Bahut Farsoda Lagte Hain Mujhe Ab Yaar Ke Kisse,
Gul-o-Guljar Ki Baatein Lab-o-Rukhsar Ke Kisse.

यहाँ सबके मुकद्दर में फकत जख्म-ए-जुदाई है,
सब ही झूठे फसाने हैं विसाल-ए-यार के किस्से।
Yahan SabKe Muqaddar Mein Faqat Zakhm-e-Judaai Hai,
Sab Hi Jhoote Fasaane Hain Wisaal-e-Yaar Ke Kisse.

Advertisement

Sad Shayari, Pehli Mohabbat Ka Anzaam

हर तन्हा रात में एक नाम याद आता है,
कभी सुबह कभी शाम याद आता है,
जब सोचते हैं कर लें दोबारा मोहब्बत,
फिर पहली मोहब्बत का अंजाम याद आता है।
Har Tanha Raat Mein Ek Naam Yaad Aata Hai,
Kabhi Subhah To Kabhi Shaam Yaad Aata Hai,
Jab Sochte Hain Kar Lein Dobara Mohabbat,
Fir Pehli Mohabbat Ka Anzaam Yaad Aata Hai.

Mohabbat Ka Anzaam Very Sad Shayari

Advertisement

Shayari Udaas Karti Hain Nishaniyan Teri

वो तेरे खत तेरी तस्वीर और सूखे फूल,
बहुत उदास करती हैं मुझको निशानियाँ तेरी।
Wo Tere Khat Teri Tasvir Aur Sookhe Phool,
Bahut Udaas Karti Hain Mujhko Nishaniyan Teri.

मुझे ये डर है तेरी आरजू न मिट जाये,
बहुत दिनों से तबियत मेरी उदास नहीं।
Mujhe Ye Darr Hai Teri Aarzoo Na Mit Jaye,
Bahut Dinon Se Tabiyat Meri Udaas Nahin.

बिछड़ के मुझसे तुम अपनी कशिश न खो देना,
उदास रहने से चेहरा खराब होता है।
Bichhad Ke Mujhse Tum Apni Kashish Na Kho Dena,
Udaas Rehne Se Chehra Kharab Hota Hai.

Advertisement

Kaanton Pe Bhi Haq Humara Nahi

चल मेरे हमनशीं अब कहीं और चल,
इस चमन में अब अपना गुजारा नहीं,
बात होती गुलों तक तो सह लेते हम,
अब काँटों पे भी हक हमारा नहीं।
Chal Mere Hum-Nashin Ab Kahin Aur Chal,
Iss Chaman Mein Ab Apna Gujaara Nahi,
Baat Hoti Gulon Tak To Seh Lete Hum,
Ab To Kaanton Pe Bhi Haq Humara Nahi.