बदल जाते है ज़िन्दगी के मायने उस वक़्त,
जब कोई तुम्हारा, तुम्हारे सामने, तुम्हारा नहीं होता।
Badal Jaate Hain Zindagi Ke Mayane Uss Waqt,
Jab Koi Tumhara, Tumhare Samne, Tumhara Nahi Hota.
हमसे दूर होकर हमारे पास हो तुम,
हमारी सूनी ज़िन्दगी की आस हो तुम,
कौन कहता है हमसे बिछड़ गए हो तुम,
हमारी यादों में हमारे साथ हो तुम।
Humse Dur Hokar Humare Paas Ho Tum,
Humari Sooni Zindagi Ki Aas Ho Tum,
Kaun Kehta Hai Humse Bichhad Gaye Ho Tum,
Humari Yaadon Mein Humare Saath Ho Tum.
अदा आई, जफा आई, गुरूर आया, इताब आया,
हजारों आफतें लेकर हसीनों का शबाब आया।
Adaa Aayi, Jafa Aayi, Garur Aaya, Itaab Aaya,
Hajaron Aafatein Lekar Haseeno Ka Shabaab Aaya.
मेरी निगाह-ए-शौक़ भी कुछ कम नहीं मगर,
फिर भी तेरा शबाब, तेरा ही शबाब है।
Meri Nigah-e-Shauq Bhi Kuchh Kam Nahi Magar,
Fir Bhi Tera Shabab, Tera Hi Shabaab Hai.
सूरज, चाँद और सितारे मेरे साथ में रहे,
जब तक तुम्हारा हाथ मेरे हाथ में रहे,
शाखों से जो टूट जाये वो पत्ते नहीं हैं हम,
आँधी से कोई कह दे कि औकात में रहे।
Sooraj, Chaand Aur Sitare Mere Saath Mein Rahe,
Jab Tak Tumhara Haath Mere Haath Mein Rahe,
Shakhon Se Jo Toot Jaye Wo Patte Nahi Hain Hum,
Aandhi Se Koi Keh De Ki Aukaat Main Rahe.