नाराज क्यों होते हो चले जायेंगे बहुत दूर,
जरा टूटे हुए दिल के टुकड़े तो उठा लेने दो।
Naaraj Kyun Hote Ho Chale Jayenge Bahut Door,
Jaraa Toote Hue Dil Ke Tukde To Uthha Lene Do.
आज फिर मौसम नम हुआ मेरी आँखों की तरह,
शायद बादलों का भी दिल किसी ने तोड़ा है।
Aaj Fir Mausam Nam Hua Meri Aankho Ki Tarah,
Shayad Baadalo Ka Bhi Dil Kisi Ne Toda Hai.
चाँदनी, जाम, कली, ख्वाब, घटा सब कुछ है,
मेरी किस्मत में मोहब्बत के सिवा सब कुछ है।
Chandni, Jaam, Kali, Khwab Ghata Sab Kuchh Hai,
Meri Kismat Mein Mohabbat Ke Siwa Sab Kuchh Hai.
मौसम की तरह बदल देते हैं लोग हमसफर अपना,
हमसे तो अपना सितमगर भी बदला नहीं जाता।
Mausam Ki Tarah Badal Dete Hai Log Humsafar Apna,
Humse To Apna Sitamgar Bhi Badla Nahi Jata.
लब पे आहें भी नहीं आँख में आँसू भी नहीं,
दिल ने हर राज़ मुहब्बत का छुपा रक्खा है,
तूने जो दिल के अंधेरे में जलाया था कभी,
वो दिया आज भी सीने में जला रक्खा है।
Lab Pe Aahein Bhi Nahi Aankh Mein Aansoo Bhi Nahi,
Dil Ne Har Raaz Mohabbat Ka Chhupa Rakha Hai,
Tu Ne Jo Dil Ke Andhere Mein Jalaya Tha Kabhi,
Wo Diya Aaj Bhi Seene Mein Jala Rakha Hai.
ये दुनिया तुम्हें एक पल में बरबाद कर देगी,
मोहब्बत हो भी जाए तो उसे मशहूर मत करना।
Yeh Duniya Tumhein Ek Pal Mein Barbaad Kar Degi,
Mohabbat Ho Bhi Jaye To Use MashHoor Mat Karna.
आसान नहीं आबाद करना घर मोहब्बत का,
ये उनका काम है जो ज़िन्दगी बर्बाद करते हैं।
Aasaan Nahi Aabaad Karna Ghar Mohabbat Ka,
Ye Unka Kaam Hai Jo Zindagi Barbaad Karte Hain.