ShayariLovers

Advertisement

Kissa Bahut Kaha Dil Ka

हमने किस्सा बहुत कहा दिल का,
न सुना तुमने माजरा दिल का।
Humne Kissa Bahut Kaha Dil Ka,
Na Suna Tumne Maajra Dil Ka.

हादसे कुछ दिल पे ऐसे हो गये,
हम समंदर से भी गहरे हो गये।
Haadse Kuchh Dil Pe Aise Ho Gaye,
Hum Samndar Se Bhi Gehre Ho Gaye.

Dono Mein Paida Doorian

गलतियों से जुदा तू भी नहीं और मैं भी नहीं,
दोनों इंसान हैं ख़ुदा तू भी नहीं मैं भी नहीं,
गलतफहमियों ने कर दी दोनों में पैदा दूरियाँ,
वरना फितरत का बुरा तू भी नहीं मैं भी नहीं।

Galtiyon Se Juda Tu Bhi Nahi Aur Main Bhi Nahi,
Dono Insaan Hain Khuda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,
GalatFehmiyon Ne Kar Di Dono Mein Paida Doorian,
Varna Fitrat Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi.

Usko Kismat Mein Likha Hota

उस की हसरत को मेरे दिल में लिखने वाले,
काश उसको मेरी किस्मत में भी लिखा होता।
Uss Ki Hasrat Ko Mere Dil Mein Likhne Wale,
Kaash Usko Meri Kismat Mein Bhi Likha Hota.

चेहरों में दूसरों के उसे ढूंढ़ते रहे,
कहीं सूरत नहीं मिली कहीं सीरत नहीं मिली।
Cheharon Mein Doosron Ke Usey Dhoondhte Rahe,
Kahin Soorat Nahi Mili Kahin Seerat Nahin Mili.

Kis-Kis Ke Hisse Ka Safar

क्या बताऊँ कैसे खुद को दर-ब-दर मैंने किया,
उम्र भर किस किस के हिस्से का सफ़र मैंने किया,
तू तो नफरत भी न कर पायेगा इस शिद्दत के साथ,
जिस बला का प्यार तुझसे बेखबर मैंने किया।

Kya Bataau Kaise Khud Ko Dar-Ba-Dar Maine Kiya,
Umr Bhar Kis-Kis Ke Hisse Ka Safar Maine Kiya,
Tu To Nafrat Bhi Na Kar Payega Iss Shiddat Ke Saath,
Jis Balaa Ka Pyar Tujhse Bekhabar Maine Kiya.

Apni Duaaon Ka Asar

माँगा करेंगे अब से दुआ हिज्र-ए-यार की,
आखिर को दुश्मनी है दुआ की असर के साथ।
Maanga Karenge Ab Se Duaa Hijr-e-Yaar Ki,
Akhir Ko Dushmani Hai Duaa Ki Asar Ke Saath.

Apni Duaaon Ka Asar

वो आ गए मिलने हमसे एक शाम तन्हाई मिटाने,
और हम समझ बैठे इसे अपनी दुआओं का असर।
Wo Aa Gaye Milne Humse Ek Shaam Tanhayi Mitane.
Aur Hum Samajh Baithe Ise Apni Duaaon Ka Asar.

12345Next ›