- Home
- Page-123
ShayariLovers
Dooriyon Se Fark Nahi Padta
दूरिओं से रिश्तों में फर्क नहीं पड़ता,
बात तो दिल की नजदीकियों की होती है,
पास रहने से भी रिश्ते नहीं बन पाते,
वरना मुलाकात तो रोज कितनों से होती है।
Dooriyon Se Rishton Mein Fark Nahi Padta,
Baat To Dil Ki Najdeekiyon Ki Hoti Hai,
Paas Rehne Se Bhi Rishte Nahi Ban Paate,
Varna Mulakaat To RoJ Kitno Se Hoti Hain.
Ho Gaya Hai Zindagi Ka Tajurba
अब समझ लेता हूँ मीठे लफ़्ज़ों की कड़वाहट,
हो गया है ज़िन्दगी का तजुर्बा थोड़ा थोड़ा।
Ab Samajh Leta Hun Meethhe Lafzon Ki Kaduwahat,
Ho Gaya Hai Zindagi Ka Tajurba Thoda Thoda.

मुझे ज़िन्दगी का इतना तजुर्बा तो नहीं है दोस्तों,
पर लोग कहते हैं यहाँ सादगी से कटती नहीं।
Mujhe Zindagi Ka Itna Tajurba To Nahin Hai Dosto,
Par Log Kahte Hain Yehan Saadgi Se KatTi Nahi.
Kiya Hai Vaada Majboor Hoon
ऐसी कर दी है तू ने मेरी हालत सनम,
दिल के जख्म किसी को दिखा न पाउँगा,
तुझसे किया है वादा तभी मजबूर हूँ,
इसी लिए खुद को मैं मिटा न पाउँगा।
Aisi Kar Di Hai Tu Ne Meri Halat Sanam,
Dil Ke Zakhm Kisi Ko Dikha Na Paaunga,
Tujhse Kiya Hai Vaada Tabhi Majboor Hoon,
Isee Liye Khud Ko Main Mita Na Paaunga.

Aazad Kar Denge Tujhe
आज़ाद कर देंगे तुझे
अपनी मोहब्बत की क़ैद से,
करे जो हमसे बेहतर कदर
पहले वो शख्स तो ढूंढ़।
Aazad Kar Denge Tujhe
Apni Mohabbat Ki Qaid Se,
Kare Jo Humse Behtar Kadar
Pehle Wo Shakhsh To Dhoond.
Wahi Dooriyan Wahi Faasle
कभी हम मिले तो भी क्या मिले
वही दूरियाँ वही फ़ासले,
न कभी हमारे कदम बढ़े
न कभी तुम्हारी झिझक गई।
Kabhi Hum Mile To Bhi Kya Mile
Wahi Dooriyan Wahi Faasle,
Na Kabhi Humare Kadam Barhe
Na Kabhi Tumhari Jhijhak Gayi.

