ऐसा तल्ख़ जवाबे-वफ़ा पहली ही दफा मिला,
हम इस के बाद फिर कोई अरमां न कर सके।
Aisa Talkh Jawab-e-Wafa Pehli Hi Dafa Mila,
Hum Iss Ke Baad Phir Koi Armaan Na Kar Sake.
दुनिया में उल्फत का यही दस्तूर होता है,
दिल से जिसे चाहो वही हमसे दूर होता है,
दिल टूट कर बिखरता है इस कदर जैसे,
काँच का खिलौना टूट के चूर-चूर होता है।
Duniya Mein Ulfat Ka Yehi Dastoor Hota Hai,
Dil Se Jise Chaaho Wahi Humse Door Hota Hai,
Dil Toot Kar Bikharta Hai Iss Kadar Jaise,
Kanch Ka Khilona Toot Ke Choor Choor Hota Hai.