- Home
- Page-100
ShayariLovers
Muskurane Ki Aadat Honi Chahiye
ज़िन्दगी बस एक हसीन ख़्वाब है,
दिल में जीने की चाहत होनी चाहिये,
ग़म खुद ही ख़ुशी में बदल जायेंगे,
सिर्फ मुस्कुराने की आदत होनी चाहिये।
Zindagi Bas Ek Haseen Khwab Hai,
Dil Mein Jeene Ki Chahat Honi Chahiye,
Gham Khud Khushi Me Badal Jayenge,
Sirf Muskurane Ki Aadat Honi Chahiye.

Maut Ne Zamindar Kar Diya
दो गज़ ज़मीन सही मेरी मिल्कियत तो है,
ऐ मौत तूने मुझको ज़मींदार कर दिया।
Do Ghaz Zamin Sahi Meri Milkiyat To Hai,
Ai Maut Tu Ne Mujh Ko Zamindar Kar Diya.
(Rahat Indori)

ऐ मौत तुझे एक दिन आना है भले,
आ जाती शबे फुरकत में तो अहसां होता।
Ai Maut Tujhe Ek Din Aana Hai Bhaley,
Aa Jati Shab-e-Furqat Mein To Ehsaan Hota.
Der Se Intezaar Hai Apna
बेखुदी ले गई कहाँ हमको,
देर से इंतज़ार है अपना,
रोते फिरते हैं सारी-सारी रात,
अब यही बस रोज़गार है अपना।
BeKhudi Le Gayi Kahan Humko,
Der Se Intezaar Hai Apna,
Rote Firte Hain Saari-Saari Raat,
Ab Yahi Bas Rozgaar Hai Apna.
Zidd Ko Anjaam Par Pahuncha Doon
अपनी ज़िद को अंजाम पर पहुँचा दूँ तो क्या,
तू तो मिल जायेगी पर तेरी मोहब्बत का क्या?
Apni Zidd Ko Anjaam Par Pahuncha Doon To Kya,
Tu To Mil Jayegi Par Teri Mohabbat Ka Kya.
मैं मोहब्बत करता हूँ तो टूट कर करता हूँ,
ये काम मुझे जरूरत के मुताबिक नहीं आता।
Main Mohabbat Karta Hoon To Toot Ke Karta Hoon,
Ye Kaam Mujhe Jaroorat Ke Mutaabik Nahi Aata.
Sooraj Ke Bina Subah Nahi Hoti

सूरज के बिना सुबह नहीं होती,
चाँद के बिना रात नहीं होती,
बादल के बिना बरसात नहीं होती,
और आपकी याद के बिना दोस्त,
दिन की शुरुआत नहीं होती।
शुभ प्रभात।
Sooraj Ke Bina Subah Nahi Hoti,
Chaand Ke Bina Raat Nahi Hoti,
Badal Ke Bina Barsaat Nahi Hoti,
Aur Aapki Yaad Ke Bina Dost
Din Ki Shuruat Nahi Hoti.
Good Morning.
