Teri Aankhon Ko Bayaan Karne Mein

Advertisement

तमाम अल्फाज़ नाकाफी लगे मुझको,
एक तेरी आँखों को बयां करने में।
Tamaam Alfaz NaaKaafi Lage Mujhko,
Ek Teri Aankhon Ko Bayaan Karne Mein.

Aankhon Ko Bayaan Karne Mein

ये कायनात सुराही थी, जाम आँखें थीं,
मुवसलत का पहला निज़ाम आँखें थीं।
Ye Kaynat Surahi Thi, Jaam Ankhein Thi,
Muwasalat Ka Pehla Nizam Ankhein Thi.

Advertisement

जो उनकी आँखों से बयां होते हैं,
वो लफ्ज़ शायरी में कहाँ होते हैं।
Jo Unki Aankho Se Bayaan Hote Hain,
Woh Lafz Shayari Mein Kahan Hote Hain.

कुछ नहीं कहती निगाहें मगर,
बात पहुँची है कहाँ से कहाँ।
Kuchh Nahin Kehti Nigahein Magar,
Baat Pahuchi Hai Kahan Se Kahan.

वह नजर उठ गई जब सरे मैकदा,
खुद-ब-खुद जाम से जाम टकरा गये।
Wo Najar Uthh Gayi Jab Sare Maiqada,
Khud-Ba-Khud Jaam Se Jaam Takra Gaye.

मुझ से कहती थीं वो शराब आँखें,
आप वो ज़हर मत पिया कीजिये।
Mujhse Kehti Thi Wo Sharab Aankhein,
Aap Wo Zeher Mat Piya Kijiye.

Advertisement

Teri Jhilmilati Aankhon Mein

Nashaa Teri Aankhon Mein

Advertisement

Read more Aankhein Shayari in Hindi