ये कायनात सुराही थी, जाम आँखें थीं,
मुवसलत का पहला निज़ाम आँखें थीं।
Ye Kaynat Surahi Thi, Jaam Ankhein Thi,
Muwasalat Ka Pehla Nizam Ankhein Thi.
कोई आग जैसे कोहरे में दबी-दबी सी चमके,
तेरी झिलमिलाती आँखों में अजीब सा शमा है।
Koi Aag Jaise Kohre Mein Dabi-Dabi Si Chamke,
Teri Jhilmilati Aankhon Mein Ajeeb Sa Shama Hai.
निगाहे-लुत्फ से इक बार मुझको देख लेते है,
मुझे बेचैन करना जब उन्हें मंजूर होता है।
Nigah-e-Lutf Se Ek Baar Mujhko Dekh Lete Hain,
Mujhe Bechain Karna Jab Unhein Manjoor Hota Hai.
साकी को गिला है कि उसकी बिकती नहीं शराब,
और एक तेरी आँखें हैं कि होश में आने नहीं देती।
Saqi Ko Gila Hai Ke Uski Bikti Nahi Sharab,
Aur Ek Teri Aankehin Hain Hosh Mein Aane Nahi Deti.
इतने सवाल थे कि मेरी उम्र से न सिमट सके,
जितने जवाब थे कि तेरी एक निगाह में आ गए।
Itne Sawaal The Ke Meri Umar Se Na Simat Sake,
Jitne Jawaab The Ke Teri Ek Nigah Mein Aa Gaye.
बहुत बेबाक आँखों में ताल्लुक टिक नहीं पाता,
मोहब्बत में कशिश रखने को शर्माना जरूरी है।
Bahut Bewaak Aankhon Mein Taalluk Tik Nahi Pata,
Mohabbat Mein Kashish Rakhne Ko Sharmana Jaroori Hai.
कभी बैठा के सामने पूछेंगे तेरी आँखों से,
किसने सिखाया है इन्हें हर दिल में उतर जाना।
Kabhi Baitha Ke Samne Puchhenge Teri Aankhon Se,
Kisne Sikhaya Hai Inhein Har Dil Mein Utar Jana.
अगर कुछ सीखना ही है तो
आँखों को पढ़ना सीख लो,
वरना लफ़्ज़ों के मतलब तो
हजारों निकल आते है।
Agar Kuchh Sikhna Hi Hai To
Aankhon Ko Parhna Seekh Lo,
Varna Lafz Ke Matlab To
Hajaaron Nikal Aate Hain.