Shaam Ka Manzar Teri Aankhein

Advertisement

अब तक मेरी यादों से मिटाए नहीं मिटता,
भीगी हुई इक शाम का मंज़र तेरी आँखें।
Ab Tak Meri Yaadon Se Mitaaye Nahi MitTa,
Bheegi Hui Ik Shaam Ka Manzar Teri Aankhein.

Shaam Ka Manzar Teri Aankhein Shayari

नजर जिसकी तरफ करके निगाहें फेर लेते हो,
कयामत तक उस दिल की परेशानी नहीं जाती।
Najar Jiski Taraf Karke Nihagein Fer Lete Ho,
Qayamat Tak Uss Dil Ki Pareshani Nahi Jahi.

Advertisement

मैं खुदगर्ज़ हूँ इतना कि बस यही चाहूँ,
रहें हमेशा मेरी मुन्तज़िर तेरी आँखें।
Main KhudGaraz Hoon Itna Ke Bas Yahi Chaahun,
Rahein Hamesha Meri Muntazir Teri Aankhein.

सौ-सौ उम्मीदें बंधती है, इक इक निगाह पर,
मुझको न ऐसे प्यार से देखा करे कोई।
Sau-Sau Ummidein Bandhti Hain, Ek Ek Nigah Par,
Mujhko Na Aise Pyar Se Dekha Kare Koyi.

रात बड़ी मुश्किल से खुद को सुलाया है मैंने,
अपनी आँखों को तेरे ख्वाब का लालच देकर।
Raat Badi Mushkil Se Khud Ko Sulaya Hai Maine,
Apni Aankho Ko Tere Khwab Ka Lalach Dekar.

फिर न कीजे मेरी गुस्ताख निगाहों का गिला,
देखिये आपने फिर प्यार से देखा मुझको।
Fir Na Keeje Meri Gustakh Nigahon Se Gila,
Dekhiye Aapne Fir Pyar Se Dekha Mujhko.

Advertisement

Uski Haseen Aankhein

Aankhon Se Dil Ki Kahani

Advertisement

You may also like