Aankhon Ka Wo Samandar

Advertisement

Aankhon Ka Samandar Hindi Shayari

महफिल अजीब है ये मंज़र अजीब है,
जो उसने चलाया वो खंजर अजीब है,
ना डूबने देता है ना उबरने देता है,
उसकी आँखों का वो समंदर अजीब है।

Mehfil Ajeeb Hai Ye Manzar Ajeeb Hai,
Jo Usne Chalaya Wo Khanjar Ajeeb Hai,
Na Doobne Deta Hai Na Ubarne Deta Hai,
Uski Aankhon Ka Wo Samandar Ajeeb Hai.

Advertisement

नशा जरूरी है ज़िन्दगी के लिए,
पर सिर्फ शराब काफ़ी नहीं बेखुदी के लिए,
किसी की मस्त निगाहों में डूब जाओ यार,
बड़ा हसीन समंदर है खुदकुशी के लिए।

Nasha Jaroori Hai Zindagi Ke Liye,
Sirf Sharab Kafi Nahi Bekhudi Ke Liye,
Kisi Ki Mast Nigaahon Mein Doob Jaao Yaar,
Bada Haseen Samandar Hai Khudkhushi Ke Liye.

उठती नहीं है आँख किसी और की तरफ,
पाबन्द कर गई किसी की नजर मुझे,
ईमान की तो ये है कि ईमान अब कहाँ,
काफ़िर बना गई तेरी काफ़िर नजर मुझे।

UthhTi Nahi Hai Aankh Kisi Aur Ki Taraf,
Paaband Kar Gayi Kisi Ki Najar Mujhe,
Imaan Ki To Ye Hai Ki Imaan Ab Kahan,
Kafir Banaa Gayi Teri Kafir Najar Mujhe.

Advertisement

Apni Aankhon Se

Shokh Nigahon Ka Majra

Advertisement

Read more Aankhein Shayari in Hindi