वो अपनी ज़िन्दगी में हो गए मसरूफ इतने कि,
किस-किस को भूल गए अब उन्हें भी याद नहीं।
Wo Apni Zindagi Mein Ho Gaye Masroof Itne Ki,
Kis-Kis Ko Bhool Gaye Ab Unhein Bhi Yaad Nahi.
तेरी यादें भी मेरे बचपन के खिलौने जैसी हैं,
तन्हा होता हूँ तो लेकर बैठ जाता हूँ।
Teri Yaadein Bhi Bachpan Ke Khilone Jaisi Hain,
Tanha Hota Hoon To Lekar Baith Jata Hoon.
तेरी यादों की कोई मंजिल होती तो अच्छा था,
खबर तो रहती कितना सफ़र तय करना है।
Teri Yaadon Ki Koi Manzil Hoti To Achha Tha,
Khabar To Rehti Kitna Safar Tay Karna Hai.
मेरे काबू में न पहरों दिल-ए-नाशाद आया,
वो मेरा भूलने वाला जो मुझे याद आया।
Mere Kaaboo Mein Na Pahron Dil-e-Nashad Aaya,
Wo Mera Bhoolne Wala Jo Mujhe Yaad Aaya.
वो दिन दिन नहीं वो रात-रात नहीं,
वो पल पल नहीं जिस पल आपकी बात नहीं,
आपकी यादों से मौत हमें अलग कर सके,
मौत की भी इतनी औकात नहीं।
Wo Din Din Nahi Wo Raat Raat Nahi,
Wo Pal Pal Nahi Jis Pal Aapki Baat Nahi,
Aapki Yaadon Se Maut Humein Alag Kar Sake,
Maut Ki Bhi itni Aukaat Nahi.
दिल के सागर में लहरें उठाया ना करो,
ख्वाब बनकर नींद चुराया ना करो,
बहुत याद करता है मेरा दिल तुम्हें
ख्वाबों में आके यूँ तड़पाया ना करो।
Dil Ke Sagar Mein Lahrein Uthhaya Na Karo,
Khwaab Bankar Neend Churaya Na Karo,
Bahut Yaad Karta Hai Mera Dil Tumhein,
Kwaabon Mein Aake Yoon Tadpaya Na Karo.
खुल जाता है तेरी यादों का बाज़ार सरेआम,
फिर मेरी रात इसी रौनक में गुजर जाती है।
Khul Jata Hai Teri Yaadon Ka Baajaar Sare Aam,
Fir Meri Raat Isi Raunak Mein Gujar Jati Hai.
उजाले अपनी यादों के हमारे साथ रहने दो,
न जाने किस गली में ज़िन्दगी की शाम हो जाए।
Ujaale Apni Yaadon Ke Hamaare Saath Rehne Do,
Na Jaane Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jaaye.