Ummeeden Khwaahishen Jarooratein
उम्मीदें, ख्वाहिशें, जरूरतें, जिम्मेदारियाँ,
इस घर में मैं कभी, अकेला नहीं रहता।
Ummeeden, Khwaahishen, Jarooratein, Jimmedaariyaan,
Iss Ghar Mein Main Kabhi, Akela Nahin Rehta.
ये दबदबा, ये हुकुमत, ये नशा, ये दौलतें,
सब किरायेदार है, घर बदलते रहते हैं।
Ye Dabdaba, Ye Hukoomat, Ye Nasha, Ye Daulatein,
Sab Kiraayedaar Hain, Ghar Badalte Rehte Hain.
कुछ ख्वाहिशों को नींद भी नहीं आती,
इस नींद की भी अपनी कुछ ख्वाहिशें हैं।
Kuchh Khwaahishon Ko Neend Bhi Nahin Aati,
Iss Neend Ki Bhi Apani Kuchh Khwaahishein Hain.
हर जुर्म पे उठती है उँगलियाँ मेरी तरफ,
क्या मेरे सिवा शहर में मासूम हैं सारे।
Har Jurm Pe Uthati Hai Ungaliyaan Meri Taraf,
Kya Mere Siwa Shahar Mein Maasoom Hain Saare.
कुछ पेड़ भी बे-फ़ैज हैं इस राह-गुजर के,
कुछ धूप भी ऐसी है के साया नहीं होता।
Kuchh Ped Bhi Be-Faiz Hain Iss Raah-Gujar Ki,
Kuchh Dhoop Bhi Aisi Hai Ke Saaya Nahin Hota.
मैं पेड़ हूँ साहब हर रोज गिरते हैं पत्ते मेरे,
फिर भी हवाओं से बदलते नहीं रिश्ते मेरे।
Main Ped Hoon Saahab Har Roj Girte Hain Patte Mere,
Phir Bhi Hawaaon Se Badalte Nahin Rishte Mere.