Siyasat Shayari Collection

Advertisement

हम तो शायर हैं सियासत नहीं आती हमको,
हम से मुँह देखकर लहजा नहीं बदला जाता।
Hum To Shayar Hain Siyasat Nahi Aati Humko,
Humse Munh Dekh Kar Lehja Nahi Badla Jata.

इस दौरे सियासत का इतना सा फ़साना है
बस्ती भी जलानी है मातम भी मनाना है।
Iss Daur-e-Siyasat Ka Itna Sa Fasana Hai,
Basti Bhi Jalani Hai Maatam Bhi Manana Hai.

सियासत की दुकानों में रोशनी के लिए,
जरूरी है कि मुल्क मेरा जलता रहे।
Siyasat Ki Dukaano Mein Roshni Ke Liye,
Jaroori Hai Ke Mulk Mera Jalta Rahe.

Advertisement

सियासत इस कदर अवाम पे अहसान करती है,
आँखे छीन लेती है फिर चश्मे दान करती है।
Siyasat Iss Kadar Aawam Pe Ehsaan Karti Hai,
Aankhein Chheen Leti Hai Fir Chashme Daan Karti Hai.

इन से उम्मीद न रख हैं ये सियासत वाले,
ये किसी से भी मोहब्बत नहीं करने वाले।
Inn Se Umeed Na Rakh Hain Ye Siyasat Wale,
Ye Kisi Se Bhi Mohabbat Nahi Karne Wale.

सियासत को लहू पीने की लत है,
वरना मुल्क में सब ख़ैरियत है।
Siyasat Ko Lahoo Peene Ki Lat Hai,
Varna Mulk Mein Sab Khairiyat Hai.

ऐ सियासत तूने भी इस दौर में कमाल कर दिया,
गरीबों को गरीब अमीरों को माला-माल कर दिया।
Ai Siyasat Tu Ne Bhi Iss Daur Mein Kamal Kar Diya,
Gareebon Ko Gareeb Ameeron Ko Maala-Maal Kar Diya.

Advertisement

Zamana Badal Gaya Kaise

Kaise Basar Zindagi Karein

Advertisement

Read more Two Line Shayari in Hindi