Raaste Kahan Khatm Hote Hain

Advertisement

रस्ते कहाँ खत्म होते हैं जिंदगी के सफर में,
मंज़िल तो वही है जहां ख्वाहिशें थम जाएँ।
Raaste Kahan Khatm Hote Hain Zindagi Ke Safar Mein,
Manzil To Wahi Hai Jahan Khwahishein Tham Jayein.

एक रास्ता ये भी है मंजिलों को पाने का,
सीख लो तुम भी हुनर हाँ में हाँ मिलाने का।
Ek Rasta Yeh Bhi Hai Manzilon Ko Paane Ka,
Seekh Lo Tum Bhi Hunar Haan Mein Haan Milane Ka.

Advertisement

मेरे जुनूँ को ज़ुल्फ़ के साए से दूर रख,
रस्ते में छाँव पा के मुसाफ़िर ठहर न जाए।
Mere Junoon Ko Zulf Ke Saaye Se Door Rakh,
Raste Mein Chhanv Paa Ke Musafir Thhaher Na Jaye.

ये क्या जगह है दोस्तो ये कौन सा दयार है,
हद्द-ए-निगाह तक जहाँ ग़ुबार ही ग़ुबार है।
Ye Kya Jagah Hai Dosto Ye Kaun Sa Dayaar Hai,
Had-e-Nigaah Tak Jahan Gubaar Hi Gubaar Hai.

Advertisement

Two Lines Shayari, Naam Badal Dena Mera

Wo Baazi Jeet Jata Hai Shayari

Advertisement

You may also like