Kashti ittefakan Bach Gayi Apni

Advertisement

खुदा या नाखुदा अब जिसको चाहो बख्श दो इज्जत,
हकीकत में तो कश्ती इत्तिफाकन बच गई अपनी।
Khuda Ya Nakhuda Ab Jisko Chaaho Bakhsh Do Izzat,
Hakiqat Mein To Kashti ittefakan Bach Gayi Apni.

कागज़ों पे लिख कर ज़ाया कर दूँ मैं वो शख़्स नहीं,
वो शायर हूँ जिसे दिलों पे लिखने का हुनर आता है।
Kagazon Pe Likh Kar Zaya Kar Doon Main Wo Shakhs Nahi,
Wo Shayar Hoon Jise Dilon Pe Likhne Ka Hunar Aata Hai.

Advertisement

अगर बिकने पे आ जाओ तो घट जाते हैं दाम अक्सर,
न बिकने का इरादा हो तो कीमत और बढ़ती है।
Agar Bikne Pe Aa Jao To Ghat Jate Hain Daam Aksar,
Na Bikne Ka Iraada Ho To Keemat Aur Barhti Hai.

उनसे कहना अपनी किस्मत पे गुरूर अच्छा नहीं होता,
हम ने बारिश में भी जलते हुए घर देखे हैं।
Unse Kehna Apni Kismat Pe Guroor Achha Nahi Hota,
Hum Ne Barish Mein Bhi Jalte Huye Ghar Dekhe Hain.

Advertisement

Shayari Two Line, Naqaab Ho Ya Naseeb

Shayari in Two Line, Meri Kismat Sanwaar De

Advertisement

Read more Two Line Shayari in Hindi