Faasle Rishton Mein Iss Kadar Hain

Advertisement

फासले इस कदर हैं आजकल रिश्तों में,
जैसे कोई घर खरीदा हो किश्तों में।
Faasle Iss Kadar Hain AajKal Rishton Mein,
Jaise Koi Ghar Khareeda Ho Kishton Mein.

खुद को भी कभी महसूस कर लिया करो,
कुछ रौनकें खुद से भी हुआ करती हैं।
Khud Ko Bhi Kabhi Mahsoos Kar Liya Karo,
Kuchh Raunakein Khud Se Bhi Hua Karti Hain.

Advertisement

हुनर बताते अगर उसके ऐब को हम भी,
तो दोस्तों में हमें भी शुमार कर लेता।
Hunar Bataate Agar Uske Aib Ko Hum Bhi,
To Doston Mein Humein Bhi Shumaar Kar Leta.

हर शख्स दौड़ता है यहाँ भीड़ की तरफ,
फिर भी चाहता है उसे रास्ता मिले।
Har Shakhs Daudta Hai Yahan Bheed Ki Taraf,
Fir Bhi Chahta Hai Use Raasta Mile.

Advertisement

Kaise Basar Zindagi Karein

Khwaab Ki Tabeer Bataane Wala

Advertisement

You may also like