Sad Shayari in Hindi | हिंदी में सैड शायरी

Advertisement

Ishq Se Intekaam Liya Maine

कल क्या खूब इश्क़ से इन्तकाम लिया मैंने,
कागज़ पर लिखा इश्क़ और उसे जला दिया।
Kal Kya Khoob Ishq Se Intekaam Liya Maine,
Kagaz Par Likha Ishq Aur Use Jala Diya.

औरों के पास जा के मेरी दास्तान न पूछ,
कुछ तो मेरे चेहरे पे लिखा हुआ भी देख।
Auron Ke Paas Ja Ke Meri Daastan Na Poochh,
Kuchh To Mere Chehare Pe Likha Hua Bhi Dekh.

Advertisement

Sad Shayari, Usne Sataya Bhi Nahi

प्यास दिल की बुझाने वो कभी आया भी नहीं,
कैसा बादल है जिसका कोई साया भी नहीं,
बेरुख़ी इस से बड़ी और भला क्या होगी,
एक मुद्दत से हमें उसने सताया भी नहीं।
Pyaas Dil Ki Bujhaane Wo Kabhi Aaya Bhi Nahi,
Kaisa Baadal Hai Jiska Koi Saaya Bhi Nahi,
Berukhi Iss Se Badi Aur Bhala Kya Hogi,
Ek Muddat Se Humein Usne Sataya Bhi Nahi.

Advertisement

Keh Na Paaye Umr Bhar

था जहाँ कहना वहां कह न पाये उम्र भर,
कागज़ों पर यूँ शेर लिखना बेज़ुबानी ही तो है।
Tha Jahan Kehna Wahan Keh Na Paaye Umr Bhar,
Kagzo Par Yoon Sher Likhna BeJubani Hi To Hai.

Kagazo Par Sher Likhna Sad Hindi Shayari

अब भी इल्जाम-ए-मोहब्बत है हमारे सिर पर,
अब तो बनती भी नहीं यार हमारी उसकी।
Ab Bhi ilzam-e-Mohabbat Hai Humare Sar Par,
Ab To Banti Bhi Nahi Yaar Humari Uski.

Advertisement

Sad Hindi Poetry, Apna Ghar Tak Jala Diya

मुद्दत से थी किसी से मिलने की आरज़ू,
ख्वाहिश-ए-दीदार में सब कुछ गँवा दिया,
किसी ने दी खबर कि वो आयेंगे रात को,
इतना किया उजाला कि घर तक जला दिया।
Muddat Se Thi Kisi Se Milne Ki Aarzoo,
Khwahish-e-Deedar Mein Sab Kuchh Ganwa Diya,
Kisi Ne Di Khabar Ki Woh Aayenge Raat Ko,
Itna Kiya Ujala Ki Ghar Tak Jala Diya.

Advertisement

Kisi Ko Itna Mat Chaaho

किसी को इतना मत चाहो कि भुला न सको,
यहाँ मिजाज बदलते हैं मौसम की तरह।
Kisi Ko Itna Mat Chaaho Ke Bhula Bhi Na Sako,
Yahan Mijaaz Badalte Rahte Hain Mausam Ki Tarha.

Kisi Ko Itna Mat Chaho Shayari

अब सोचते हैं लाएँगे तुझ सा कहाँ से हम,
उठने को उठ तो आए तेरे आस्ताँ से हम।
Ab Sochte Hain Layenge Tujh Sa Kahan Se Hum,
Uthhne Ko Uthh To Aaye Tere Aastaan Se Hum.