जो वक़्त था वो पलट कर सामने आता है,
और जिस वक़्त को हम दिल से पाना चाहते हैं,
वो तो बस एक लम्हा बनकर बीत जाता है।
Na Jane Kyun Waqt Iss Tarah Gujar Jata Hai,
Jo Waqt Tha Wo Palat Kar Samne Aata Hai,
Aur Jis Waqt Ko Hum Dil Se Pana Chahte Hain,
Wo To Bas Ek Lamha Bankar Beet Jata Hai.
राह-ए-वफ़ा में किसका किसने दिया है साथ,
तुम भी चले चलो यूँ ही जब तक चली चले।
Rah-e-Wafa Mein Kiska Kisne Diya Hai Saath,
Tum Bhi Chale Chalo Yoon Hi Jab Tak Chali Chale.
ऐसा नहीं कि शख्स अच्छा नहीं था वो,
जैसा मेरे ख्याल में था बस वैसा नहीं था वो।
Aisa Nahi Ki Shakhs Achchha Nahi Tha Wo,
Jaisa Mere Khayal Mein Tha Bas Waisa Nahi Tha Wo.
तुमने सोच लिया मिल जायेंगे बहुत चाहने वाले,
ये भी सोच लेते कि फर्क होता है चाहतों में भी।
Tumne Soch Liya Mil Jayenge Bahut Chaahne Wale,
Ye Bhi Soch Lete Ki Fark Hota Hai Chaahato Mein Bhi.
जरा सा झाँक कर तो देखिये वीरान आँखों में,
सभी एहसास आँखों की नमी से तय नहीं होते।
Jara Sa Jhaank Kar To Dekhiye Veeran Aankhon Mein,
Sabhi Ehsaas Aankhon Ki Nami Se Tay Nahi Hote.
मुद्दत से कोई शख्स रुलाने नहीं आया,
जलती हुई आँखों को बुझाने नहीं आया,
जो कहता था कि रहेंगे उम्र भर साथ तेरे,
अब रूठे हैं तो कोई मनाने नहीं आया।
Muddat Se Koi Shakhs Rulane Nahi Aaya,
Jalti Huyi Aankhon Ko Bujhaane Nahi Aaya,
Jo Kehta Tha Ki Rahenge Umr Bhar Saath Tere,
Ab Roothhe Hain To Koi Manaane Nahi Aaya.
ये जो तुम मेरा हालचाल पूछते हो,
बड़ा ही मुश्किल सवाल पूछते हो।
Ye Jo Tum Mera Haal-Chal Poochhte Ho,
Bada Hi Mushkil Sawaal Poochhte Ho.
मेरे लफ्जों से निकल जायें अशआर,
कोई ख्वाहिश जो तेरे बाद करूं।
Mere Lafzon Se Nikal Jaayein AshAar,
Koi Khwahish Jo Tere Baad Karoon.