सारी दुनिया के तलबगार नहीं थे हम।
Ek Tum Hi Mil Jate Bas Itna Kafi Tha,
Sari Duniya Ke TalabGar Nahi The Hum.
रोज ख्वाबों में जीते हैं वो ज़िन्दगी,
जो तेरे साथ हक़ीक़त में सोची थी कभी।
Roj Khwabon Mein Jeete Hain Wo Zindagi,
Jo Tere Saath Hakeeqat Mein Sochi Thi Kabhi.
ठोकर न लगा मुझे पत्थर नहीं हूँ मैं,
हैरत से न देख कोई मंज़र नहीं हूँ मैं,
उनकी नजर में मेरी कदर कुछ भी नहीं,
मगर उनसे पूछो जिन्हें हासिल नहीं हूँ मैं।
Thokar Na Laga Mujhe Patthar Nahi Hoon Main,
Hairat Se Na Dekh Mujhe Manzar Nahi Hoon Main,
Mana Ki Unki Najro Mein Meri Kadr Kuchh Bhi Nahi,
Magar Unse Poocho Jinhein Haasil Nahi Hoon Main.
तुम्हारी तलाश में निकलूँ भी तो क्या फायदा..?
तुम बदल गए हो, खो गए होते तो और बात थी।
Tumhari Talaash Mein Nikalu Bhi To Kya Fayeda..?
Tum Badal Gaye Ho, Kho Gaye Hote To Aur Baat Thi.
फलक के तारों से क्या दूर होगी जुल्मत-ए-शब,
जब अपने घर के चरागों से रोशनी न मिली।
Falak Ke Taaron Se Kya Dur Hogi Zulmat-e-Shab,
Jab Apne Ghar Ke Chiraagon Se Roshni Na Mili.
सपनों से दिल लगाने की आदत नहीं रही,
हर वक्त मुस्कुराने की आदत नहीं रही,
ये सोच के कि कोई मनाने नहीं आएगा,
अब हमको रूठ जाने की आदत नहीं रही।
Sapno Se Dil Lagaane Ki Aadat Nahi Rahi,
Har Waqt Muskurane Ki Aadat Nahi Rahi,
Ye Soch Ke Ki Koi Manaane Nahi Aayega,
Ab Humko Roothh Jaane Ki Aadat Nahi Rahi.
वो रोज़ देखता है डूबते सूरज को इस तरह,
काश मैं भी किसी शाम का मंज़र होता।
Wo Roz Dekhta Hai Doobte Sooraj Ko Iss Tarah,
Kaash Main Bhi Kisi Shaam Ka Manzar Hota.
ये तेरा खेल न बन जाए हक़ीकत एक दिन,
रेत पे लिख के मेरा नाम मिटाया न करो।
Ye Tera Khel Na Ban Jaye Hakeeqat Ek Din,
Ret Pe Likh Ke Mera Naam Mitaaya Na Karo.