लोग निकले ही नहीं ढूढ़ने वालों की तरह,
दिल तो क्या हम रूह में भी उतर जाते,
तुमने चाहा ही नहीं चाहने वालों की तरह।
Hum To Maujood The Raat Mein Ujalon Ki Tarah,
Log Nikle Hi Nahi Dhhoodne Walon Ki Tarah,
Dil To Kya Hum Rooh Mein Bhi Utar Jaate,
Tum Ne Chaha Hi Nahi Chahne Walon Ki Tarah.
अपनी ही मोहब्बत से मुकरना पड़ा मुझे,
जब देखा उसे रोता किसी और के लिए।
Apni Hi Mohabbat Se Mukarna Pada Mujhe,
Jab Dekha Usey Rota Kisi Aur Ke Liye.
ना जाने कैसी नजर लगी है ज़माने की,
वजह ही नहीं मिल रही मुस्कुराने की।
Na Jane Kaisi Najar Lagi Hai Zamane Ki,
Wajah Hi Nahi Mil Rahi Muskurane Ki.
पलकों को कभी हमने भिगोए ही नहीं,
वो सोचते हैं की हम कभी रोये ही नहीं,
वो पूछते हैं ख्वाबों में किसे देखते हो?
और हम हैं कि एक उम्र से सोए ही नहीं।
Palkon Ko Kabhi Hum Bhigoye Hi Nahi,
Wo Sochte Hain Ki Hum Kabhi Roye Hi Nahi,
Wo Poochhte Hain Khwaabo Mein Kise Dekhte Ho?
Aur Hum Hain Ki Ek Umr Se Soye Hi Nahi.
उस की हसरत को मेरे दिल में लिखने वाले,
काश उसको मेरी किस्मत में भी लिखा होता।
Uss Ki Hasrat Ko Mere Dil Mein Likhne Wale,
Kaash Usko Meri Kismat Mein Bhi Likha Hota.
चेहरों में दूसरों के उसे ढूंढ़ते रहे,
कहीं सूरत नहीं मिली कहीं सीरत नहीं मिली।
Cheharon Mein Doosron Ke Usey Dhoondhte Rahe,
Kahin Soorat Nahi Mili Kahin Seerat Nahin Mili.
क्या बताऊँ कैसे खुद को दर-ब-दर मैंने किया,
उम्र भर किस किस के हिस्से का सफ़र मैंने किया,
तू तो नफरत भी न कर पायेगा इस शिद्दत के साथ,
जिस बला का प्यार तुझसे बेखबर मैंने किया।
Kya Bataau Kaise Khud Ko Dar-Ba-Dar Maine Kiya,
Umr Bhar Kis-Kis Ke Hisse Ka Safar Maine Kiya,
Tu To Nafrat Bhi Na Kar Payega Iss Shiddat Ke Saath,
Jis Balaa Ka Pyar Tujhse Bekhabar Maine Kiya.