Sad Shayari in Hindi | हिंदी में सैड शायरी

Advertisement

Mareez-e-Ishq The Aakhir

दवा न काम आई, काम आई न दुआ कोई,
मरीजे-इश्क़ थे आखिर हकीमों से शिकायत क्या।
Davaa Na Kaam Aayi, Kaam Aayi Na Duaa Koi,
Mareez-e-Ishq The Aakhir Haqeemon Se Shiqayat Kya.

कुछ अजब हाल है इन दिनों तबियत का साहब,
खुशी खुशी न लगे और ग़म बुरा न लगे।
Kuchh Ajab Haal Hai In Dino Tabiyat Ka Sahab,
Khushi Khushi Na Lage Aur Gham Bura Na Lage.

Advertisement

Sad Shayari, Toote Huye Sapno Ne

टूटे हुये सपनों और रूठे हुये
अपनों ने उदास कर दिया,
वरना लोग हमसे मुस्कराने का
राज पूछा करते थे।
Toote Huye Sapno Aur Ruthe Huye
Apno Ne Udaas Kar Diya,
Varna Log Humse Muskraane Ka
Raaz Poochha Karte The.

Toote Huye Sapne Sad Hindi Shayari

Advertisement

Dil Ke Zakhmo Ko Chhua Hai

अब इस से ज्यादा और क्या नरमी बरतूं,
दिल के ज़ख्मों को छुया है तेरे गालों की तरह।
Ab Iss Se Jyada Aur Kya Narmi Bartoon,
Dil Ke Zakhmo Ko Chhua Hai Tere Gaalon Ki Tarah.

मुझे मेरे कल की फ़िक्र आज भी नहीं मगर,
ख्वाहिश उसको पाने की कयामत तक रहेगी।
Mujhe Mere Kal Ki Fikr Aaj Bhi Nahi Magar,
Khwahish Usko Paane Ki Qayamat Tak Rahegi.

Advertisement

Wo Thoda Muskura Deti

जरा साहिल पे आकर वो थोड़ा मुस्कुरा देती,
भंवर घबरा के खुद मुझ को किनारे पर लगा देता,
वो ना आती मगर इतना तो कह देती कि आँऊगी,
सितारे, चाँद, सारा आसमान राहों में बिछा देता।

Jara Saahil Pe Aakar Wo Thoda Muskura Deti,
Bhanwar Ghabra Ke Khud MujhKo Kinare Par Laga Deta,
Wo Na Aati Magar Itna To Keh Deti... Ki Aaungi,
Sitare, Chaand, Sara Aasmaan Raahon Mein Bichha Deta.

Advertisement

Gujra Hoon Hadsaat Se

गुजरा हूँ हादसात से लेकिन वही हूँ मैं,
तुम ने तो एक बात पे रस्ते बदल लिए।
Gujra Hoon Hadsaat Se Lekin Wahi Hoon Main,
Tum Ne To Ek Baat Pe Raste Badal Liye.

मेरे मुक़द्दर को भी गिला रहा है मुझसे,
कि किसी और का होता तो संवर गया होता।
Mere Muqaddar Ko Bhi Gila Raha Hai MujhSe,
Ke Kisi Aur Ka Hota To Sanwar Gaya Hota.