अब क्यूँ तकलीफ होती है तुम्हें इस बेरुखी से,
तुम्हीं ने तो सिखाया है कि दिल कैसे जलाते हैं।
Ab Kyun Takleef Hoti Hai Tumhien Iss Berukhi Se,
Tumhin Ne To Sikhaya Hai Ki Dil Kaise Jalate Hain.
तुमने कहा था आँखें भर के देखा करो मुझे,
अब आँख तो भर आती है पर तुम नहीं दिखते।
Tumne Kaha Tha Aankhein Bhar Ke Dekha Karo Mujhe,
Ab Aankh To Bhar Aati Hai Par Tum Nahi Dikhte.
तुमने तो कह दिया कि मोहब्बत नहीं मिली,
मुझको तो ये कहने की भी मोहलत नहीं मिली,
तुझको तो खैर शहर के लोगों का खौफ था,
और मुझको अपने घर से इजाज़त नहीं मिली।
Tumne To Keh Diya Ki Mohabbat Nahi Mili,
MujhKo To Ye Kehne Ki Bhi Mohlat Nahi Mili,
TujhKo To Khair Shahar Ke Logon Ka Khauk Tha,
Aur MujhKo Apne Ghar Se Ijaazat Nahi Mili.
रूठ जाना तो मोहब्बत की अलामत है मगर,
क्या खबर थी वो इतना खफा हो जाएगा।
Roothh Jana To Mohabbat Ki Alamat Hai Magar,
Kya Khabar Thi Wo Itna Khafa Ho Jayega.
वो आए थे मेरा दुख-दर्द बाँटने के लिए,
मुझे खुश देखा तो खफा होकर चल दिये।
Wo Aaye The Mera Dukh-Dard Baantne Ke Liye,
Mujhe Khush Dekha To Khafa Ho Kar Chal Diye.