ShayariLovers

Advertisement

Jo Dil Maanga To Wo Bole

किसी का क्या जो क़दमों पर जबीं-ए-बंदगी रख दी,
हमारी चीज थी हमने जहाँ जानी वहाँ रख दी,
जो दिल माँगा तो वो बोले ठहरो याद करने दो,
जरा सी चीज़ थी हमने न जाने कहाँ रख दी।

Kisi Ka Kya Jo Kadmo Par Jabin-e-Bandagi Rakh Di,
Humari Cheez Thi Humne Jahan Jaani Wahan Rakh Di,
Jo Dil Maanga To Wo Bole Thhehro Yaad Karne Do,
Jara Si Cheej Thi Hum Ne Na Jaane Kahan Rakh Di.

Iss Tarah Se Gujaari Hai Zindagi

कुछ इस तरह से गुज़ारी है ज़िन्दगी जैसे,
तमाम उम्र किसी दूसरे के घर में रहा।
Kuchh Iss Tarah Se Gujaari Hai Zindagi Jaise,
Tamaam Umr Kisi Doosre Ke Ghar Mein Raha.

ज़िन्दगी लोग जिसे मरहम-ए-ग़म जानते हैं,
जिस तरह हम ने गुज़ारी है वो हम जानते हैं।
Zindagi Log Jise Marham-e-Gham Jaante Hain,
Jis Tarah Hum Ne Gujari Hai Wo Hum Jante Hain.

जो तेरी चाह में गुजरी वही ज़िन्दगी थी बस,
उसके बाद तो बस ज़िन्दगी ने गुजारा है मुझे।
Jo Teri Chaah Mein Gujri Wahi Zindagi Thi Bas,
Uske Baad To Bas Zindagi Ne Gujara Hai Mujhe.

Tum Iss Kadar Yaad Aaoge

इस तरह दिल में समाओगे सोचा न था,
दिल को इतना तड़पाओगे सोचा न था,
मालूम था कि दूर हो तो याद तो आओगे,
मगर इस कदर याद आओगे सोचा न था।

Iss Tarah Dil Mein Samaoge Socha Na Tha,
Dil Ko Itna Tadpaoge Socha Na Tha,
Maloom Tha Door Ho To Yaad To Aaoge,
Magar Iss Kadar Yaad Aaoge Socha Na Tha.

नसीब सरकता जरुर है

दीदार की तलब हो तो नजरें जमाये रख,
क्यूँकि नक़ाब हो या नसीब सरकता जरुर है।
Deedar Ki Talab Hai To Najrein Jamaaye Rakh,
Kyuki Naqaab Ho Ya Naseeb Sarakta Jaroor Hai.

Naseeb Sarakta Jaroor Hai

जब तक था दम में दम न दबे आसमाँ से हम,
जब दम निकल गया तो ज़मीं ने दबा लिया।
Jab Tak Tha Dum Mein Dum Na Dabe Aasmaan Se Hum,
Jab Dum Nikal Gaya To Zamin Ne Dabaa Liya.

Ye Zikr Sharab Ka Hai

ताजगी मिज़ाज में और रंगत
जैसे पिघला हुआ सोना,
तारीफ तेरी नहीं साकी,
यह ज़िक्र शराब का है।
Taazgi Mizaaj Mein Aur Rangat
Jaise Pighla Hua Sona,
Tareef Teri Nahi Saaqi,
Ye Zikr Sharab Ka Hai.

12345Next ›