तलब उठती है बार-बार तेरे दीदार की,
ना जाने देखते-देखते कब तुम लत बन गये।
Talab Uthti Hai Baar-Baar Tere Deedar Ki,
Na Jaane Dekhte-Dekhte Kab Tum Lat Ban Gaye.
वो चाँदनी का बदन खुशबुओं का साया है,
बहुत अजीज़ हमें है मगर पराया है,
उसे किसी की मोहब्बत का ऐतबार नहीं,
उसे ज़माने ने शायद बहुत सताया है।
Wo Chaandni Ka Badan Khushbuon Ka Saaya Hai,
Bahut Ajeez Humein Hai Magar Paraya Hai,
Usey Kisi Ki Mohabbat Ka Aitbaar Nahi,
Usey Zamane Ne Shayad Bahut Sataya Hai.
रियों में हद से गुजर जाना चाहिए,
इज्ज़त से जी न पाये तो मर जाना चाहिए।
Khuddariyon Mein Hadd Se Gujar Jana Chahiye,
Izzat Se Jee Na Paaye To Mar Jaana Chahiye.
अभी शीशा हूँ सबकी आँखों में चुभता हूं,
जब आईना बन जाऊंगा सारा जहाँ देखेगा।
Abhi Sheesha Hoon Sabki Aankho Mein Chubhta Hoon,
Jab Aayina Ban Jaunga Saara Jahaan Dekhega.
कौन रोता है किसी और की खातिर ऐ दोस्त,
सबको अपनी ही किसी बात पे रोना आया।
Kaun Rota Hai Kisi Aur Ki Khatir Ai Dost,
SabKo Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya.
ग़म-ए-हयात ने आवारा कर दिया वरना,
थी आरज़ू कि तेरे दर पे सुबह-ओ-शाम करें।
Gham-e-Hayat Ne Aawara Kar Diya Varna,
Thi Aarzoo Ke Tere Dar Pe Subah-o-Shaam Karein.