मैं समझता हूँ तेरी इशवागिरी को साकी,
काम करती है नजर नाम पैमाने का है।
Main Samajhta Hoon Teri IshwaGiri Ko Saqi,
Kaam Karti Hai Najar Naam Paimaane Ka.
क्या पूछते हो कौन है ये किसकी है शोहरत,
क्या तुमने कभी 'दाग़' का दीवाँ नहीं देखा।
Kya Poochhte Ho Kaun Hai Ye Kiski Shohrat Hai,
Kya Tumne Kabhi 'Daagh' Ka Deewan Nahi Dekha.
ख़ातिर से या लिहाज़ से मैं मान तो गया,
झूठी क़सम से आपका ईमान तो गया।
Khatir Se Ya Lihaaz Se Main Maan To Gaya,
Jhoothhi Qasam Se Aapka Imaan To Gaya.
ज़िन्दगी सिर्फ मोहब्बत नहीं कुछ और भी है,
ज़ुल्फ़-ओ-रुखसार की जन्नत नहीं कुछ और भी है,
भूख और प्यास की मारी हुई इस दुनिया में,
इश्क ही इक हकीकत नहीं कुछ और भी है।
Zindagi Sirf Mohabbat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,
Zulf-o-Rukhsaar Ki Jannat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,
Bhookh Aur Pyaas Ki Maari Huyi Iss Duniya Mein,
Ishq Hi Ek Hakiqat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai.