आँसू भी मेरी आँख के अब खुश्क हो गए,
तू ने मेरे खुलूस की कीमत भी छीन ली।
Aansoo Bhi Meri Aankh Ke Ab Khushk Ho Gaye,
Tu Ne Mere Khuloos Ki Keemat Bhi Chheen Li.
बारिशें हो ही जाती हैं शहर में फ़राज़,
कभी बादलों से तो कभी आँखों से।
Baarishein Ho Hi Jaati Hain Shahar Mein Faraz,
Kabhi Badalon Se... To Kabhi Aankhon Se.
उदास लम्हों की न कोई याद रखना,
तूफान में भी वजूद अपना संभाल रखना,
किसी की ज़िंदगी की ख़ुशी हो तुम,
बस यही सोच तुम अपना ख्याल रखना।
Udaas Lamhon Ki Na Koi Yaad Rakhna,
Toofan Mein Bhi Wajood Apna Sambhal Rakhna,
Kisi Ki Zindagi Ki Khushi Ho Tum,
Bas Yehi Soch Tum Apna Khayal Rakhna.
आँसू नहीं हैं आँख में लेकिन तेरे बगैर,
तूफान छुपे हुए हैं दिले-बेकरार में।
Aansoo Nahi Hain Aankh Mein Lekin Tere Bagair,
Toofan Chhupe Huye Hain Dil-e-Bekarar Mein.
दिल चुराकर आप तो बैठे हुए हैं चैन से,
ढूढ़ने वाले से पूछे कोई क्या जाता रहा।
Dil Churakar Aap To Baithhe Huye Hain Chain Se,
Dhoodhne Wale Se Poochhe Koi Kya Jata Raha.
ये कह के दिल ने मेरे हौसले बढ़ाए हैं
ग़मों की धूप के आगे ख़ुशी के साए हैं।
Yeh Keh Ke Mere Dil Ne Mere Hausle Barhaye Hain,
Ghamon Ki Dhoop Ke Aage Khushi Ke Saaye Hain.
दर्द मोहब्बत का ऐ दोस्त बहुत खूब होगा,
न चुभेगा.. न दिखेगा.. बस महसूस होगा।
Dard Mohabbat Ka Ai Dost Bahut Khoob Hoga,
Na Chubhega.. Na Dikhega.. Bas Mehsoos Hoga.
ये जरूरी तो नहीं हर शख़्स मसीहा ही हो,
प्यार के ज़ख़्म अमानत हैं दिखाया न करो।
Ye Jaruri To Nahi Har Shakhs Maseeha Hi Ho,
Pyar Ke Zakhm Amaanat Hain Dikhaya Na Karo.