आँसू मेरे देखकर तू परेशान क्यों है ऐ दोस्त,
ये वो अल्फाज हैं जो जुबान तक आ न सके।
Aansoo Mere Dekh Kar Kyun Pareshan Hai Ai Dost,
Ye Wo Alfaz Hain Jo Jubaan Tak Na Aa Sake.
बहुत अजीब हैं तेरे बाद की ये बरसातें भी,
हम अक्सर बन्द कमरे में भीग जाते हैं।
Bahut Ajeeb Hain Tere Baad Ki Ye Barsaatein Bhi,
Hum Aksar Band Kamron Mein Bheeg Jaate Hain.
क्या दुख है समंदर को बता भी नहीं सकता,
आँसू की तरह आँख तक आ भी नहीं सकता।
Kya Dukh Hai Samandar Ko Bata Bhi Nahi Sakta,
Aansoo Ki Tarah Aankh Tak Aa Bhi Nahi Sakta.
एक तमन्ना जगी है इस मायूस दिल में आज,
आँसू के साथ हर एक ख्वाब भी बह जाए।
Ek Tamanna Jagi Hai Iss Mayoos Dil Mein Aaj,
Aansoo Ke Saath Har Ek Khwahish Bhi Beh Jaaye.
अगर अंजाम की परवाह होती तो,
हम मोहब्बत करना छोड़ देते,
मोहब्बत में तो जिद्द होती है,
और जिद्द के बड़े पक्के हैं हम।
Agar Anjaam Ki Parwaah Hoti To,
Hum Mohabbat Karna Chhod Dete,
Mohabbat Mein To Zidd Hoti Hai,
Aur Zidd Ke Bade Pakke Hain Hum.
आज ना पूछो मुझसे मेरी उदासी का सबब,
बस सीने से लगा कर मुझे रूला दे कोई।
Aaj Na Poochho Mujhse Meri Udaasi Ka Sabab,
Bas Seene Se Laga Kar Mujhe Rula De Koi.