Aansoo Mere Dekh Kar

Advertisement

आँसू मेरे देखकर तू परेशान क्यों है ऐ दोस्त,
ये वो अल्फाज हैं जो जुबान तक आ न सके।
Aansoo Mere Dekh Kar Kyun Pareshan Hai Ai Dost,
Ye Wo Alfaz Hain Jo Jubaan Tak Na Aa Sake.

इनको न कभी आँख से गिरने देता हूँ मैं,
उनको लगते हैं मेरी आँख में प्यारे आँसू।
Inko Kabhi Aankh Se Girne Nahi Deta Hun Main,
Usko Lagte Hain Meri Aankh Mein Pyare Aansoo.

Advertisement

बहुत अजीब हैं तेरे बाद की ये बरसातें भी,
हम अक्सर बन्द कमरे में भीग जाते हैं।
Bahut Ajeeb Hain Tere Baad Ki Ye Barsaatein Bhi,
Hum Aksar Band Kamron Mein Bheeg Jaate Hain.

क्या दुख है समंदर को बता भी नहीं सकता,
आँसू की तरह आँख तक आ भी नहीं सकता।
Kya Dukh Hai Samandar Ko Bata Bhi Nahi Sakta,
Aansoo Ki Tarah Aankh Tak Aa Bhi Nahi Sakta.

एक तमन्ना जगी है इस मायूस दिल में आज,
आँसू के साथ हर एक ख्वाब भी बह जाए।
Ek Tamanna Jagi Hai Iss Mayoos Dil Mein Aaj,
Aansoo Ke Saath Har Ek Khwahish Bhi Beh Jaaye.

Advertisement

Tears Shayari, Gham Ke Aansoo

Aansoo Shayari in Hindi, Zamin Ke Aansoo

Advertisement

Read more Tears Shayari in Hindi