नहीं हो सकता कद तेरा ऊँचा किसी भी माँ से ऐ खुदा,
तू जिसे आदमी बनाता है, वो उसे इंसान बनाती है।
Nahi Ho Sakta Kad Tera Uncha Kisi Bhi Maa Se Ai Khuda,
Tu Jise Aadmi Banata Hai Woh Use Insaan Banati Hai.
सच्चे रिश्तों की ये गहराइयाँ तो देखिये,
चोट लगती है हमें और चिल्लाती है माँ,
हम खुशियों में माँ को भले ही भूल जायें,
जब मुसीबत आ जाए तो याद आती है माँ।
Sachche Rishto Ki Ye Gehraiyan To Dekhiye,
Chot Lagti Hai Hamein Aur Chillati Hai Maa,
Hum Khushiyon Mein Maa Ko Bhale Bhi Bhool Jayein,
Jab Museebat Aa Jaye To Yaad Aati Hai Maa.
रोने की सजा है न रुलाने की सजा है,
ये दर्द मोहब्बत को निभाने की सजा है,
हँसती हुई आँखों में आ जाते हैं आँसू,
ये उस शख्स से दिल लगाने की सजा है।
Rone Ki Saza Hai Na Rulaane Ki Saza Hai,
Ye Dard Mohabbat Ko Nibhane Ki Saza Hai,
Hansti Huyi Aankhon Mein Aa Jate Hain Aansoo,
Ye Uss Shakhs Se Dil Lagane Ki Saza Hai.