Mothers Day Shayari, Maa Ke Pair Chhookar

Advertisement

किसी भी ​मुश्किल का अब किसी को हल नहीं मिलता,
​शायद अब घर से कोई माँ के पैर छूकर नहीं निकलता​।
Kisi Bhi Mushkil Ka Ab Kisi Ko Hal Nahi Milta,
Shayad Ab Ghar Se Koi Maa Ke Pair Chhukar Nahi Nikalta.

Hindi Shayari - Maa Aur Khuda

नहीं हो सकता कद तेरा ऊँचा किसी भी माँ से ऐ खुदा,
तू जिसे आदमी बनाता है, वो उसे इंसान बनाती है।
Nahi Ho Sakta Kad Tera Uncha Kisi Bhi Maa Se Ai Khuda,
Tu Jise Aadmi Banata Hai Woh Use Insaan Banati Hai.

Advertisement

किसी को घर मिला हिस्से में या कोई दुकान आई,
मैं घर में सबसे छोटा था मेरे हिस्से में माँ आई।
Kisi Ko Ghar Mila Kisi Ke Hisse Mein Dukaan Aayi,
Main Ghar Mein Sabse Chhota Tha Mere Hisse Mein Maa Aayi.

उमर भर तेरी मोहब्बत मेरी खिदमतगार रही माँ,
मैं तेरी खिदमत के काबिल जब हुआ तू चली गयी माँ।
Umar Bhar Teri Mohabbat Meri Khidmatgar Rahi Maa,
Main Teri Khidmat Ke Kabil Jab Hua Tu Chali Gayi Maa.

अपनी माँ को कभी न देखूँ तो चैन नहीं आता है,
दिल न जाने क्यूँ माँ का नाम लेते ही बहल जाता है।
Apni Maa Ko Kabhi Na Dekhu To Chain Nahi Aata Hai,
Dil Na Jaane Kyun Maa Ka Naam Lete Hi Bahal Jata Hai.

Advertisement

Musibat Mein Yaad Aati Hai Maa

Maa Ka Aansoo Bahana

Advertisement

Read more Maa Shayari in Hindi