समझ में कुछ नहीं आता
मोहब्बत किस को कहते हैं,
मगर इतना समझता हूँ,
कि कहीं पर दर्द उठता है।
Samajh Mein Kuchh Nahi Aata,
Mohabbat Kis Ko Kehte Hain,
Magar Itna Samajhta Hoon,
Ke Kahin Par Dard UthTa Hai.
कमाल का जिगर रखते है कुछ लोग,
दर्द लिखते हैं और आह तक नहीं करते।
Kamaal Ka Jigar Rakhte Hain Kuchh Log,
Dard Likhte Hain Aur Aah Tak Nahi Karte.
फिर कोई सवाल सुलगता रहा रात भर,
फिर कोई जवाब सिसकता ही रह गया।
Fir Koi Sawaal Sulagta Raha Raat Bhar,
Fir Koi Jawaab Sisakta Hi Reh Gaya.
बेनाम सा यह दर्द ठहर क्यों नहीं जाता,
जो बीत गया है वो गुजर क्यों नहीं जाता,
वो एक ही चेहरा तो नहीं सारे जहाँ में,
जो दूर है वो दिल से उतर क्यों नहीं जाता।
Benaam Sa Ye Dard Thhahar Kyun Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai Wo Gujar Kyun Nahi Jata,
Wo Ek Hi Chehra To Nahi Saare Jahaan Mein,
Jo Door Hai Wo Dil Se Utar Kyun Nahi Jata.
Jhoothhi Hansi Se Zakhm Aur Barhta Gaya,
Iss Se Behtar Tha KhulKar Ro Liye Hote.
झूठी हँसी से जख्म और बढ़ता गया,
इससे बेहतर था खुलकर रो लिए होते।
Manzilon Se Begana Aaj Bhi Safar Mera,
Hai Raat Besahar Meri Dard BeAsar Mera.
मंजिलों से बेगाना आज भी सफ़र मेरा,
है रात बेसहर मेरी दर्द बेअसर मेरा।
Andaza Laga Lete Hain Sab Dard Ka Mere,
Hanste Huye Chehre Ka Nuksaan Yahi Hai.
अंदाजा लगा लेते हैं सब दर्द का मेरे,
हँसते हुए चेहरे का नुकसान यही है।
Mere To Dard Bhi Auron Ke Kaam Aate Hain,
Mein Ro Padoo To Kayi Log Muskurate Hain.
मेरे तो दर्द भी औरों के काम आते हैं,
मैं रो पडूँ तो कई लोग मुस्कराते है।