तो लबों पे अक्सर एक फरियाद आती है,
भूल जाते हैं सारे दर्द-ओ-सितम उनके,
जब उनकी थोड़ी सी मोहब्बत याद आती है।
Khyaal Mein Aata Hai Jab Bhi Unka Chehra,
To Labon Pe Aksar Ek Fariyaad Aati Hai,
Bhool Jate Hain Saare Dard-o-Sitam Unke,
Jab Unki Thodi Si Mohabbat Yaad Aati Hai.
बयाँ करना मोहब्बत को आसान न हुआ था,
ये जो दर्द है कैसे कह दूँ कि ये तुमने दिया है।
Bayaan Karna Mohabbat Ko Aasaan Na Hua Tha,
Ye Jo Dard Hai Kaise Keh Doon Ki Tumne Diya Hai.
कागज़ पे हमने भी ज़िन्दगी लिख दी,
अश्क से सींच कर उनकी खुशी लिख दी,
दर्द जब हमने उबारा लफ्जों पे,
लोगों ने कहा वाह क्या ग़ज़ल लिख दी।
Kaagaz Pe Humne Bhi Zindagi Likh Di,
Ashq Se Seench Kar Unki Khushi Likh Di,
Dard Jab Humne Ubaara Lafzon Pe,
Logon Ne Kaha Waah Kya Ghazal Likh Di.
Log Kehte Hain Har Dard Ki Ek Hadd Hoti Hai,
Shayad Unhonein Mera Hadon Se Gujarana Nahi Dekha.
लोग कहते है हर दर्द की एक हद होती है,
शायद उन्होंने मेरा हदों से गुजरना नहीं देखा।
दिया दिए से जला लूँ तो सुकून आये मुझे,
तुम्हें गले से लगा लूँ तो चैन आये मुझे,
मोहब्बतों के सहीफ़े हैं या अज़ाब कोई,
तेरे खतों को जला लूँ तो चैन आये मुझे।
Diya Diye Se Jala Loon To Chain Aaye Mujhe,
Tumhein Gale Se Laga Loon To Chain Aaye Mujhe,
Mohabbaton Ke Saheefey Hain Ya Azaab Koi,
Tere Khaton Ko Jala Loon To Chain Aaye Mujhe.