Dard Baatne Ki Aadat
आदत बदल सी गई है वक़्त काटने की,
हिम्मत ही नहीं होती अपना दर्द बांटने की।
Aadat Badal Si Gayi Hai Waqt Kaatne Ki,
Himmat Hi Nahi Hoti Apna Dard Baatne Ki.
हमदर्दियाँ भी मुझे काटने लगती हैं अब,
यूँ मुझसे मेरा मिजाज़ ना पूछा करे कोई।
Humdardiyan Bhi Mujhe Katne Lagti Hain Ab,
Yoon Mujhse Mera Mijaz Na Puchha Kare Koi.
दर्द को मुस्कराकर सहना क्या सीख लिया,
सब ने सोच लिया मुझे तकलीफ़ नहीं होती।
Dard Ko Muskura Kar Sehna Kya Seekh Liya,
Sab Ne Soch Liya Mujhe Takleef Nahi Hoti.
दर्द सहने की इतनी आदत सी हो गई है,
कि अब दर्द ना मिले तो बहुत दर्द होता है।
Dard Sehne Ki Itni Aadat Si Ho Gayi Hai,
Ki Ab Dard Na Mile To Bahut Dard Hota Hai.