Dard Bhari Shayari | दर्द भरी शायरी

Advertisement

Dard Shayari, Barbaad Pyar Se

न जाने किस तरह के हैं दुनिया के लोग भी,
प्यार भी प्यार से करते हैं और बर्बाद भी प्यार से।
Na Jaane Kis Tarah Ke Hain Iss Duniya Ke Log Bhi,
Pyar Bhi Pyar Se Karte Hain Aur Barbaad Bhi Pyar Se.

लोग मुन्तज़िर ही रहे कि हमें टूटा हुआ देखें,
और हम थे कि दर्द सहते-सहते पत्थर के हो गए।
Log Muntzir Hi Rahe Ki Humein Toota Hua Dekhein,
Aur Hum The Ki Dard Sahte-Sahte Patthar Ke Ho Gaye.

Advertisement

Dard Mein Shiddat Na Rahi

वो सिलसिले वो शौक वो ग़ुरबत न रही,
फिर यूँ हुआ के दर्द में शिद्दत न रही,
अपनी ज़िन्दगी में हो गए मसरूफ वो इतना,
कि हम को याद करने की फुर्सत न रही।
Wo Silsile Wo Shauq Wo Gurbat Na Rahi,
Fir Yoon Hua Ke Dard Mein Shiddat Na Rahi,
Apni Zindagi Mein Ho Gaye Masroof Wo Itna,
Ki Hum Ko Yaad Karne Ki Fursat Na Rahi.

Advertisement

Dard Shayari, Shayad Wo Dard Jaane

बैठे है रहगुज़र पर दिल का दिया जलाये,
शायद वो दर्द जाने, शायद वो लौट आये।
Baithhe Hain RahGujar Par Dil Ka Diya Jalaye,
Shayad Wo Dard Jaane Shayad Wo Laut Aaye.

Dard Bhari Shayari Shayad Wo Dard Jaane

इसी ख्याल से गुज़री है शाम-ए-ग़म अक्सर,
कि दर्द हद से जो बढ़ेगा तो मुस्कुरा दूंगा।
Isee Khayal Se Gujri Hai Sham-e-Gham Aksar,
Ki Dard Hadd Se Jo Barhega To Muskura Dunga.

Advertisement

Painful Shayari, Dard-e-Dil Ka Mazaa

मुझको तो दर्द-ए-दिल का मज़ा याद आ गया,
तुम क्यों हुए उदास तुम्हें क्या याद आ गया?
कहने को ज़िन्दगी थी बहुत मुख्तसर मगर,
कुछ यूँ बसर हुई कि खुदा याद आ गया।
Mujhko To Dard-e-Dil Ka Mazaa Yaad Aa Gaya,
Tum Kyun Huye Udaas Tumhein Kya Yaad Aa Gaya?
Kahne Ko Zindagi Thi Bahut Mukhtsar Magar,
Kuchh Yoon Basar Huyi Ki Khuda Yaad Aa Gaya.

Advertisement

Dard Bhare Status, Dard Ki Zidd Hai

जब्त कहता है कि खामोशी से बसर हो जाये,
दर्द की जिद है कि दुनिया को खबर हो जाये।

Jabt Kehta Hai Ke Khamoshi Se Basar Ho Jaye,
Dard Ki Zidd Hai Ke Duniya Ko Khabar Ho Jaye.