Dard Bhari Shayari | दर्द भरी शायरी

Advertisement

Dard Shayari for Girlfriend, Hota Hai Dard-e-Dil

मुस्कुराने से भी होता है दर्द-ए-दिल बयां,
किसी को रोने की आदत हो ये जरूरी तो नहीं।
Muskurane Se Bhi Hota Hai Dard-e-Dil Bayaan,
Kisi Ko Rone Ki Aadat Ho Ye Jaroori To Nahi.

Dard Bhari Shayari for Girlfriend Dard-e-Dil

ग़म सलीके में थे जब तक हम खामोश थे,
जरा जुबान क्या खुली दर्द बे-अदब हो गए।
Gham Saleeke Mein The Jab Tak Hum Khamosh The,
Jara Jubaan Kya Khuli Dard Be-Adab Ho Gaye.

Advertisement

Shayari Dard Bhari, Jiska Dard Uska Dard

लफ्ज़-ए-तसल्ली तो बस एक तकल्लुफ है,
जिसका दर्द उसका दर्द बाकी सब अफ़साने।
Lafz-e-Tasalli To Bas Ek Takalluf Hai,
Jiska Dard Uska Dard Baaki Sab Afsaane.

उसी का शहर, वही मुद्दई, वही मुंसिफ,
हमें यकीन था हमारा क़सूर निकलेगा।
Usi Ka Shahar, Wahi Muddai, Wahi Munsif,
Humein Yakeen Tha Humara Qasoor Niklega.

Advertisement

Hindi Dard Status, Mere Dard Ka ilaaj

ज़िन्दगी ने मेरे दर्द का क्या खूब इलाज सुझाया,
वक्त को दवा बताया ख्वाहिशों से परहेज़ बताया।
Zindagi Ne Mere Dard Ka Kya Khoob ilaaj Sujhaya,
Waqt Ko Dawaa Bataya Khwahishon Se Parhej Bataya.

Hindi Dard Bhare Shayari Status

तरस आता है मुझे अपनी मासूम सी पलकों पर,
जब भीग कर कहती है कि अब रोया नहीं जाता।
Taras Aata Hai Mujhe Apni Masoom Si Palkon Par,
Jab Bheeg Kar Kahti Hain Ke Ab Roya Nahi Jata.

Advertisement

Meri Hansi Mein Chhupa Dard

कोई समझता नहीं मुझे इसका ग़म नहीं करता,
पर तेरे नजरंदाज करने पर मुस्कुरा देता हूँ,
मेरी हँसी में छुपे दर्द को महसूस कर के देख,
मैं तो हँस के यूँ ही खुद को सजा देता हूँ।
Koi Samjhta Nahi Mujhe Iska Gham Nahi Karta,
Par Tere NajarAndaaz Karne Muskura Deta Hoon,
Meri Hansi Mein Chhupe Dard Ko Mahsoos Karke Dekh,
Main To Hans Ke Yoon Hi Khud Ko Saza Deta Hun.

Advertisement

Rulane Wali Dard Shayari, Apna Koi Mil Jata

अपना कोई मिल जाता तो हम फूट के रो लेते,
यहाँ सब गैर हैं तो हँस के गुजर जायेगी।
Apna Koi Mil Jata To Hum Phoot Ke Ro Lete,
Yehan Sab Ghair Hain To Hans Ke Gujar Jayegi.

Rulane Wali Dard Bhari Shayari in Hindi

वक़्त ख़ुशी से काटने का मशवरा देते हुये,
रो पड़ा वो ख़ुद ही मुझे हौंसला देते हुये ।
Waqt Khushi Se Kaatne Ka Mashwara Dete Huye,
Ro Pada Wo Khud Hi Mujhe Hausala Dete Huye.