Tewar Shayari, Zamane Mein Dum Nahi

Advertisement

हमको मिटा सके वो ज़माने में दम नहीं,
हमसे ज़माना खुद है ज़माने से हम नहीं।
Humko Mita Sake Wo Zamane Mein Dum Nahi,
Humse Zamana Khud Hai Zamane Se Hum Nahi.

Zamane Mein Dum Nahi Shayari

ये मत समझ कि तेरे काबिल नहीं हैं हम,
तड़प रहे हैं वो जिसे हासिल नहीं हैं हम।
Ye Mat Samajh Ki Tere Kabil Nahi Hain Hum,
Tadap Rahe Hain Wo Jinhein Haasil Nahi Hain Hum.

Advertisement

हम भी बरगद के दरख़्तों की तरह हैं,
जहाँ दिल लग जाए वहाँ ताउम्र खड़े रहते हैं।
Hum Bhi Bargad Ke Darakhton Ki Tarah Hain,
Jahan Dil Lag Jaye Wahan TaUmr Khade Rehte Hain.

लाख तलवारें बढ़ी आती हों गर्दन की तरफ,
सर झुकाना नहीं आता तो झुकाए कैसे।
Lakh Talwarein Badi Aati Hon Gardan Ki Taraf,
Sar Jhukana Nahi Aata To Jhukayein Kaise.

छोड़ दी है अब हमने वो फनकारी वरना,
तुझ जैसे हसीन तो हम कलम से बना देते थे।
Chhod Di Hai Ab Humne Wo Fankaari Varna,
Tujh Jaise Haseen To Hum Kalam Se Bana Dete The.

की मोहब्बत तो सियासत का चलन छोड़ दिया,
हम अगर प्यार न करते तो हुकूमत करते।
Ki Mohabbat To Siyasat Ka Chalan Chhod Diya,
Hum Agar Pyar Na Karte To Hukoomat Karte.

Advertisement

Aukat Shayari, Aandhi Aukaat Main Rahe

Dushman Ab Chaahne Lage Hain

Advertisement

Read more Attitude Shayari in Hindi